main aai saheli adam ke nagar se
maiñ aa.ī sahelī 'adam ke nagar se
vujūd-e-haqīqī ne laayā mujhe
'adam merī bastī meñ ho kar nahīñ thī
nahīñ se vo hai ne dikhāyā mujhe
maiñ mayyat maiñ jāhil maiñ muztar maiñ 'ājiz
maiñ bahrī maiñ andhī maiñ gūñgī azal se
vo zinda vo 'ālim murīd aur qādir
vo suntā hai biinā hai goyā maiñ sadqe
mirā mujh meñ kuchh bhī nahīñ hai sahelī
vahī sar se pā tak sañvārā mujhe
vahī terī sūrat se zāhir huā hai
ye murshid ne gar hai batāyā mujhe
maiñ kaise piyā ko ye bhūlūñ sahelī
jo hāthoñ se apne banāyā mujhe
mohammad kī sūrat se jalva dikhā kar
mire man-mohan ne lubhāyā mujhe
ḳhudā merā sāñchā nabī merā sāñchā
guru bhī milā hai to sāñchā mujhe
mujhī meñ ḳhudā ko mujhī meñ nabī ko
maiñ sadqe guru ke dikhāyā mujhe
usī se isī ko maiñ paatī huuñ 'ġhausī'
'ajab us ne jalva dikhāyā mujhe
main aai saheli 'adam ke nagar se
wujud-e-haqiqi ne laya mujhe
'adam meri basti mein ho kar nahin thi
nahin se wo hai ne dikhaya mujhe
main mayyat main jahil main muztar main 'ajiz
main bahri main andhi main gungi azal se
wo zinda wo 'alim murid aur qadir
wo sunta hai bina hai goya main sadqe
mera mujh mein kuchh bhi nahin hai saheli
wahi sar se pa tak sanwara mujhe
wahi teri surat se zahir hua hai
ye murshid ne gar hai bataya mujhe
main kaise piya ko ye bhulun saheli
jo hathon se apne banaya mujhe
mohammad ki surat se jalwa dikha kar
mere man-mohan ne lubhaya mujhe
KHuda mera sancha nabi mera sancha
guru bhi mila hai to sancha mujhe
mujhi mein KHuda ko mujhi mein nabi ko
main sadqe guru ke dikhaya mujhe
usi se isi ko main pati hun 'ghausi'
'ajab us ne jalwa dikhaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.