KHuda maujud hai aur hum adam hain
ḳhudā maujūd hai aur ham adam haiñ
adam kyā maz.har-e-zāt-e-qadam haiñ
nahīñ haiñ ham vo aur vo ham nahīñ haiñ
tamāsha hai ki phir vo ham hī ham haiñ
nazar aate nahīñ gir ho ke zāhir
ye jalve kis ke phir ai zul-karam haiñ
jo kHokar ḳhud ko paa.e ḳhud meñ tujh ko
ilāhī ab to aise log kam haiñ
tirā dar chhoḌ kar jaa.eñ kidhar ham
jabīñ hai aur tire naqsh-e-qadam haiñ
piyeñge ham tire hāthoñ se saaqī
yahī sāġhar hamāre jām-e-jam haiñ
vahī zāhir vahī bātin hai 'ġhausī'
nahīñ jo chiiz kuchh vo chiiz ham haiñ
KHuda maujud hai aur hum adam hain
adam kya mazhar-e-zat-e-qadam hain
nahin hain hum wo aur wo hum nahin hain
tamasha hai ki phir wo hum hi hum hain
nazar aate nahin gir ho ke zahir
ye jalwe kis ke phir ai zul-karam hain
jo kHokar KHud ko pae KHud mein tujh ko
ilahi ab to aise log kam hain
tera dar chhoD kar jaen kidhar hum
jabin hai aur tere naqsh-e-qadam hain
piyenge hum tere hathon se saqi
yahi saghar hamare jam-e-jam hain
wahi zahir wahi baatin hai 'ghausi'
nahin jo chiz kuchh wo chiz hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.