hamari hasti ka zikr hi kiya zari bhi jis ko baqa nahin hai
hamārī hastī kā zikr hī kiyā zarī bhī jis ko baqā nahīñ hai
na jaan apnī na jism apnā kahīñ bhī apnā patā nahii. hai
ḳhudā ko banda kaho na hargiz ḳhudā ye banda banā nahīñ hai
na bande ko tum ḳhudā banāo ki banda hargiz ḳhudā nahīñ hai
jo ye hai vo hai jo vo hai ye hai na haq hai banda na banda haq hai
jo ye hai ye hai jo vo hai vo hai agarche ye vo judā nahīñ hai
ḳhudā hai kyā chiiz kyā kahūñ maiñ ḳhudā ko kaisā ḳhudā kahūñ maiñ
ki chhoTā muñh aur baat baalā ye baat hargiz ravā nahīñ hai
hai muft hairān kyuuñ tū zāhid ḳhudā ko kyuuñ kar chalā muqayyad
judā ḳhudā ko samajh na andhe ki arsh hī par ḳhudā nahīñ hai
bayān 'ġhausī' ho vasl kā kyā ajiib hairat kā hai tamāsha
jo dekhtā huuñ maiñ do jahāñ meñ to koī us ke sivā nahīñ hai
hamari hasti ka zikr hi kiya zari bhi jis ko baqa nahin hai
na jaan apni na jism apna kahin bhi apna pata nahi hai
KHuda ko banda kaho na hargiz KHuda ye banda bana nahin hai
na bande ko tum KHuda banao ki banda hargiz KHuda nahin hai
jo ye hai wo hai jo wo hai ye hai na haq hai banda na banda haq hai
jo ye hai ye hai jo wo hai wo hai agarche ye wo juda nahin hai
KHuda hai kya chiz kya kahun main KHuda ko kaisa KHuda kahun main
ki chhoTa munh aur baat baala ye baat hargiz rawa nahin hai
hai muft hairan kyun tu zahid KHuda ko kyun kar chala muqayyad
juda KHuda ko samajh na andhe ki arsh hi par KHuda nahin hai
bayan 'ghausi' ho wasl ka kya ajib hairat ka hai tamasha
jo dekhta hun main do jahan mein to koi us ke siwa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.