ye to bataen kaun hun yakta hai tu mana sahi
ye to batā.eñ kaun huuñ yaktā hai tū maanā sahī
tū hai mirā maulā sahī maiñ huuñ terā banda sahī
har-jā akelā tū hai gar sab kā kahāñ batlā guzar
be-do ke ik zāhir nahīñ maanā tū hai yaktā sahī
pūchhā maiñ ik kaisā hai tū bolā ki ik lākhoñ meñ huuñ
be-ik ke huuñ lākhoñ kahāñ go ek hai tanhā sahī
avval bhī tū āḳhir bhī tū zāhir bhī tū bātin bhī tū
ham kaun jab terā hī hai har-jā qad-e-ra.anā sahī
ham avval-o-āḳhir nahīñ ham batin-o-zāhir nahīñ
jab ham har ik sūrat nahīñ to sab terā jalva sahī
ḳhud asal huuñ na huuñ far.a meñ ḳhud shaḳhs huuñ na huuñ aks meñ
haañ asal tū to far.a meñ to shaḳhs meñ saayā sahī
maiñ kaun huuñ jo ain huuñ maiñ kaun huuñ jo ġhair huuñ
'ġhausī' vahī hai jalva-e-giriya parda ki parda sahī
ye to bataen kaun hun yakta hai tu mana sahi
tu hai mera maula sahi main hun tera banda sahi
har-ja akela tu hai gar sab ka kahan batla guzar
be-do ke ek zahir nahin mana tu hai yakta sahi
puchha main ek kaisa hai tu bola ki ek lakhon mein hun
be-ik ke hun lakhon kahan go ek hai tanha sahi
awwal bhi tu aaKHir bhi tu zahir bhi tu baatin bhi tu
hum kaun jab tera hi hai har-ja qad-e-rana sahi
hum awwal-o-aKHir nahin hum batin-o-zahir nahin
jab hum har ek surat nahin to sab tera jalwa sahi
KHud asal hun na hun fara mein KHud shaKHs hun na hun aks mein
han asal tu to fara mein to shaKHs mein saya sahi
main kaun hun jo ain hun main kaun hun jo ghair hun
'ghausi' wahi hai jalwa-e-giriya parda ki parda sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.