mujhko KHud se bhula diya kis ne
mujh ko ḳhud se bhulā diyā kis ne
un ko ḳhud meñ dikhā diyā kis ne
muddatoñ the talāsh meñ jis kī
kah ke kuchh ye milā diyā kis ne
ḳhud se chhūTe to pā liyā us ko
ye ishāra batā diyā kis ne
aañkh milte hī aa.e āñkhoñ meñ
un ko aisā dikhā diyā kis ne
dil meñ un ke sivā nahīñ koī
aisā dil meñ basā diyā kis ne
aañkh paḌtī hai jis taraf vo haiñ
yuuñ nazar meñ jamā diyā kis ne
mujh ko mujh se chhuḌā diyā dam meñ
jaam aisā pilā diyā kis ne
bhuul kar ḳhud ko ḳhvāb-e-ġhaflat meñ
so rahā thā jagā diyā kis ne
aaj kuchh aur hī haiñ ham 'ġhausī'
ham ko ham se milā diyā kis ne
mujh ko KHud se bhula diya kis ne
un ko KHud mein dikha diya kis ne
muddaton the talash mein jis ki
kah ke kuchh ye mila diya kis ne
KHud se chhuTe to pa liya us ko
ye ishaara bata diya kis ne
aankh milte hi aae aankhon mein
un ko aisa dikha diya kis ne
dil mein un ke siwa nahin koi
aisa dil mein basa diya kis ne
aankh paDti hai jis taraf wo hain
yun nazar mein jama diya kis ne
mujh ko mujh se chhuDa diya dam mein
jam aisa pila diya kis ne
bhul kar KHud ko KHwab-e-ghaflat mein
so raha tha jaga diya kis ne
aaj kuchh aur hi hain hum 'ghausi'
hum ko hum se mila diya kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.