parda-e-wahdat mein mahbub-e-KHuda tu hi to tha
parda-e-vahdat meñ mahbūb-e-ḳhudā tū hī to thā
lā-makāñ meñ yā-sha-e-har-dūsrā tuuhī to thā
ganj-e-maḳhfī meñ o nūr-e-kibriyā tū hī to thā
bā.is-e-ījād-e-a.alam mustafā tū hī to thā
rahnumā.ī gumrahoñ kī karte un kī kyā majāl
ḳhizr mere ḳhizr kā bhī rahnumā tū hī to thā
ġhash the muusā dekh kar jis kī tajallī kī jhalak
ham ne jaanā tuur par jalva-numā tū hī to thā
koh-e-jūdī par lagī jā kar jo kashtī nuuh kī
o ḳhudā ke nuur us kā nā-ḳhudā tū hī to thā
dekh kar ḳhud ko jo bol uTThā vo innī-ḳhāliqun
haañ mere maulā ḳhudā kā ā.īna tū hī to thā
jām-e-vahdat se kiyā 'ġhausī' ko bas mast-e-alast
sāqī-e-kausar vahāñ jur.a diyā tū hī to thā
parda-e-wahdat mein mahbub-e-KHuda tu hi to tha
la-makan mein ya-sha-e-har-dusra tuhi to tha
ganj-e-maKHfi mein o nur-e-kibriya tu hi to tha
bais-e-ijad-e-alam mustafa tu hi to tha
rahnumai gumrahon ki karte un ki kya majal
KHizr mere KHizr ka bhi rahnuma tu hi to tha
ghash the musa dekh kar jis ki tajalli ki jhalak
hum ne jaana tur par jalwa-numa tu hi to tha
koh-e-judi par lagi ja kar jo kashti nuh ki
o KHuda ke nur us ka na-KHuda tu hi to tha
dekh kar KHud ko jo bol uTTha wo inni-KHaliqun
han mere maula KHuda ka aaina tu hi to tha
jam-e-wahdat se kiya 'ghausi' ko bas mast-e-alast
saqi-e-kausar wahan jura diya tu hi to tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.