pahlu mein mere dil hai ahmad pe marne wala
pahlū meñ mere dil hai ahmad pe marne vaalā
aur dam mirā ye dam hai ahmad kā bharne vaalā
muztar ko chain aa.e be-kal qarār paa.e
dekhe jo zulf un kī koī bikharne vaalā
ahmad kā ishq chhoḌūñ kāfir nahīñ huuñ nāseh
turshī se ye nahīñ hai nashsha utarne vaalā
aatī thiiñ ye sadā.eñ vaqt-e-vilādat-e-shah
ab naḳhl-e-kufr kī hai ye jaḌ katarne vaalā
phir vār-e-teġh-e-furqat dil par lagā hai kaarī
ab zaḳhm-e-dil hai shāyad koī ubharne vaalā
isrā kī shab ye dete jibrīl the sadā.eñ
sardār-e-do-jahāñ hai is dam sañvarne vaalā
saare jahāñ kā sachchā hai qaul kā ye pakkā
jānāñ nahīñ ye apnā hargiz mukarne vaalā
ab yā nabī dikhā do rū-e-mubārak apnā
huuñ ishq meñ tumhāre jaañ se guzarne vaalā
jo dekh luuñ maiñ jalva maulā ke sadqe ho kar
'ġhausī' maiñ jaan apnī huuñ nazr karne vaalā
pahlu mein mere dil hai ahmad pe marne wala
aur dam mera ye dam hai ahmad ka bharne wala
muztar ko chain aae be-kal qarar pae
dekhe jo zulf un ki koi bikharne wala
ahmad ka ishq chhoDun kafir nahin hun naseh
turshi se ye nahin hai nashsha utarne wala
aati thin ye sadaen waqt-e-wiladat-e-shah
ab naKHl-e-kufr ki hai ye jaD katarne wala
phir war-e-tegh-e-furqat dil par laga hai kari
ab zaKHm-e-dil hai shayad koi ubharne wala
isra ki shab ye dete jibril the sadaen
sardar-e-do-jahan hai is dam sanwarne wala
sare jahan ka sachcha hai qaul ka ye pakka
jaanan nahin ye apna hargiz mukarne wala
ab ya nabi dikha do ru-e-mubarak apna
hun ishq mein tumhaare jaan se guzarne wala
jo dekh lun main jalwa maula ke sadqe ho kar
'ghausi' main jaan apni hun nazr karne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.