khula ab man-raani se muamma lan-tarani ka
khulā ab man-ra'āñī se muammā lan-tarānī kā
mohammad mustafā tum raaz ho ganj-e-nihānī kā
ḳhudā.ī merī nazroñ meñ ye saarī mustafā.ī hai
ḳhulāsa hai ye merī ek biinī ek daanī kā
ajab kuchh be-nishāñ hai vo ki hai har ik nishāñ us kā
pata detā hai patta patta us kī be-nishānī kā
ḳhudā hai rutba-dāñ un kā ḳhudā hai mad.h-ḳhvāñ un kā
do-a.alam ko kahāñ muñh hai nabī kī madh-kHvānī kā
mohammad ke qudūm-e-pāk par jān-e-hazīñ nikle
natīja kam se kam nikle ye merī jāñ-fishānī kā
nabī ke hubb meñ rone se amal naame dhule 'ġhausī'
be-hamdillāh kiyā ashkoñ ne mere kaam paanī kā
khula ab man-ra'ani se muamma lan-tarani ka
mohammad mustafa tum raaz ho ganj-e-nihani ka
KHudai meri nazron mein ye sari mustafai hai
KHulasa hai ye meri ek bini ek dani ka
ajab kuchh be-nishan hai wo ki hai har ek nishan us ka
pata deta hai patta patta us ki be-nishani ka
KHuda hai rutba-dan un ka KHuda hai madh-KHwan un ka
do-alam ko kahan munh hai nabi ki madh-kHwani ka
mohammad ke qudum-e-pak par jaan-e-hazin nikle
natija kam se kam nikle ye meri jaan-fishani ka
nabi ke hubb mein rone se amal name dhule 'ghausi'
be-hamdillah kiya ashkon ne mere kaam pani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.