azal se hun main aashiq jis ke ghungar wale baalon ka
azal se huuñ maiñ āshiq jis ke ghūñgar vaale bāloñ kā
vo dil hai jaan hai jānāñ hai sab allāh vāloñ kā
banānā un ko jo bigḌe hue haiñ ek muddat ke
ye adnā sā karishma hai rasūl-allāh ke chāloñ kā
haqīqat saarī khul jā.egī mahshar meñ batā deñge
maza aa jā.egā un ke javāboñ kā savāloñ kā
ḳhudā kā jalva isyāñ kī syāhī dil meñ yuuñ goyā
siyah parda hai baitullāh meñ mere infi'āloñ kā
nahīñ karte nahīñ karte masīhā bhī masīhā.ī
sunā hai ishq-e-ahmad meñ jo a.alam mere nāloñ kā
mohammad kā nazāra mere dil aur āñkhoñ meñ
maza letā huuñ furqat meñ tasavvur se visāloñ kā
sunā.eñge ġhazal ye na.atiya mahshar meñ ham 'ġhausī'
nabī ke sāmne majma.a ho jis dam ishq vāloñ kā
azal se hun main aashiq jis ke ghungar wale baalon ka
wo dil hai jaan hai jaanan hai sab allah walon ka
banana un ko jo bigDe hue hain ek muddat ke
ye adna sa karishma hai rasul-allah ke chaalon ka
haqiqat sari khul jaegi mahshar mein bata denge
maza aa jaega un ke jawabon ka sawalon ka
KHuda ka jalwa isyan ki syahi dil mein yun goya
siyah parda hai baitullah mein mere infi'alon ka
nahin karte nahin karte masiha bhi masihai
suna hai ishq-e-ahmad mein jo aalam mere nalon ka
mohammad ka nazara mere dil aur aankhon mein
maza leta hun furqat mein tasawwur se visalon ka
sunaenge ghazal ye natiya mahshar mein hum 'ghausi'
nabi ke samne majma ho jis dam ishq walon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.