ghul hua dekh ke mahshar mein taDapna mera
ġhul huā dekh ke mahshar meñ taḌapnā merā
ishq-e-ahmad meñ huā haal tamāsha merā
ik jhalak dekhī hai sarkār ke jo jalve kī
aaj muusā kahīñ muñh takte haiñ kyā kyā merā
nok-e-mizhgān-e-mohammad kā ḳhayāl aayā hai
aaj chhalnī huā jaatā hai kaleja merā
huuñ vo pur-dard ki hai dard ko bhī dard mirā
aah rone pe mere rotā hai ronā merā
jaan to pahle nikalte hī ga.ī pesh-e-huzūr
pahuñchā taiba na rahā qabr meñ lāsha merā
hasrat-e-dīd-e-nabī meñ jo marā huuñ 'ġhausī'
sadqe hotī hai qazā dekh ke lāsha merā
ghul hua dekh ke mahshar mein taDapna mera
ishq-e-ahmad mein hua haal tamasha mera
ek jhalak dekhi hai sarkar ke jo jalwe ki
aaj musa kahin munh takte hain kya kya mera
nok-e-mizhgan-e-mohammad ka KHayal aaya hai
aaj chhalni hua jata hai kaleja mera
hun wo pur-dard ki hai dard ko bhi dard mera
aah rone pe mere rota hai rona mera
jaan to pahle nikalte hi gai pesh-e-huzur
pahuncha taiba na raha qabr mein lasha mera
hasrat-e-did-e-nabi mein jo mara hun 'ghausi'
sadqe hoti hai qaza dekh ke lasha mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.