’alam-e-surat ka chhup jaana ayan ho jaega
’ālam-e-sūrat kā chhup jaanā 'ayāñ ho jā.egā
ye muraqqa.a ik din āñkhoñ se nihāñ ho jā.egā
dūd-e-dil merā na chashm-e-kam se dekh ai rashk-e-mah
pahan hogā ye agar tū āsmāñ ho jā.egā
aah mujh se nāla-kash kī hogī madfan jo zamīñ
us zamīñ kā qit’a saarā nīstāñ ho jā.egā
mat jalā dil ko mire har dam ki ye abr-e-mizha
ab jo hai yuuñ āb-rez ātish-fishāñ ho jā.egā
bāz-gasht-e-'umr-e-rafta kā sabab hai shurb-e-mai
zāhid is ko pī ki phir tū bhī javāñ ho jā.egā
mat suno ġhairoñ ke vaañ har shab tum afsāne tavīl
varna ik din qissa hī kotāh yaañ ho jā.egā
pā.egā us be-nishāñ kā kuchh to ai 'rāsiḳh' nishāñ
aap ko kah kar jo benām-o-nishāñ ho jā.egā
’alam-e-surat ka chhup jaana 'ayan ho jaega
ye muraqqa ek din aankhon se nihan ho jaega
dud-e-dil mera na chashm-e-kam se dekh ai rashk-e-mah
pahan hoga ye agar tu aasman ho jaega
aah mujh se nala-kash ki hogi madfan jo zamin
us zamin ka qit’a sara nistan ho jaega
mat jala dil ko mere har dam ki ye abr-e-mizha
ab jo hai yun aab-rez aatish-fishan ho jaega
baz-gasht-e-'umr-e-rafta ka sabab hai shurb-e-mai
zahid is ko pi ki phir tu bhi jawan ho jaega
mat suno ghairon ke wan har shab tum afsane tawil
warna ek din qissa hi kotah yan ho jaega
paega us be-nishan ka kuchh to ai 'rasiKH' nishan
aap ko kah kar jo benam-o-nishan ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.