amiri kaisi kya ye martaba shahi waziri ka
amīrī kaisī kyā ye martaba shāhī vazīrī kā
tū ai ġhāfil shanāsā-e-madārij ho faqīrī kā
na bhāveñge hamāre ba.ad use dilhā-e-be-nisbat
hameñ ik 'umr rovegā mazā dil kī asīrī kā
javānī hañs ke kaaTī ab palak par ashk chamkī hai
jo raat āḳhir huī niklā sitāra sub.h-e-pīrī kā
mire nāloñ ke sunñe se to chup lag jā.egī tujh ko
na rakh āhañg mere saath bulbul ham-safīrī kā
girānā chāhtā hai 'ujab-e-dānish mujh ko rutba se
junūñ aa bhī yahī to vaqt hai ab dast-gīrī kā
sukHan-sanjāñ sāhib-e-dil hai qadr us kī samajhte haiñ
badal hai ye mirā dīvān dīvān-e-nazīrī kā
vo bazm-e-she'r kyā jis meñ na aaveñ hazrat-e-‘rāsikH’
ki aanā un kā aanā hai shifā.ī kā nazīrī kā
amiri kaisi kya ye martaba shahi waziri ka
tu ai ghafil shanasa-e-madarij ho faqiri ka
na bhawenge hamare baad use dilha-e-be-nisbat
hamein ek 'umr rowega maza dil ki asiri ka
jawani hans ke kaTi ab palak par ashk chamki hai
jo raat aaKHir hui nikla sitara subh-e-piri ka
mere nalon ke sunne se to chup lag jaegi tujh ko
na rakh aahang mere sath bulbul ham-safiri ka
girana chahta hai 'ujab-e-danish mujh ko rutba se
junun aa bhi yahi to waqt hai ab dast-giri ka
sukHan-sanjaan sahib-e-dil hai qadr us ki samajhte hain
badal hai ye mera diwan diwan-e-naziri ka
wo bazm-e-she'r kya jis mein na aawen hazrat-e-‘rasikH’
ki aana un ka aana hai shifai ka naziri ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.