meri har nazar mein sanam hi sanam hai
merī har nazar meñ sanam hī sanam hai
sanam kī nazar meñ karam hī karam hai
nahīñ dūsrā meñ koī dūsrā hai
haram hai haram meñ sanam hī sanam hai
namāzī kā har sajda bāb-e-haram tak
mere sāmne to sanam hī sanam hai
hai haajī ko to bahr-e-asvad kā bosa
mere rū-ba-rū bas qadam hī qadam hai
huī jab se nisbat hai mujh ko sanam se
kahūñ kyā karam hai karam hī karam hai
karam be-vajah kis ko kaise malegā
sanam se karam hai karam hī karam hai
tujhe ḳhauf uqba hai ḳhauf-e-lahad hai
yahāñ donoñ aalam adam hī adam hai
maiñ pūchhā thā ḳhāna-e-dil se kyā hai
sadā aa.ī dil se sanam hī sanam hai
'ġhulām'-e-sanam ko fanā phir baqā meñ
ki baanī mabānī sanam hī sanam hai
meri har nazar mein sanam hi sanam hai
sanam ki nazar mein karam hi karam hai
nahin dusra mein koi dusra hai
haram hai haram mein sanam hi sanam hai
namazi ka har sajda bab-e-haram tak
mere samne to sanam hi sanam hai
hai haji ko to bahr-e-aswad ka bosa
mere ru-ba-ru bas qadam hi qadam hai
hui jab se nisbat hai mujh ko sanam se
kahun kya karam hai karam hi karam hai
karam be-wajah kis ko kaise malega
sanam se karam hai karam hi karam hai
tujhe KHauf uqba hai KHauf-e-lahad hai
yahan donon aalam adam hi adam hai
main puchha tha KHana-e-dil se kya hai
sada aai dil se sanam hi sanam hai
'ghulam'-e-sanam ko fana phir baqa mein
ki bani mabani sanam hi sanam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.