adam se aai hai nisbat qadam qadam ba-qadam
adam se aai hai nisbat qadam qadam ba-qadam
Ghulam Hussain Mirzai
MORE BYGhulam Hussain Mirzai
adam se aa.ī hai nisbat qadam qadam ba-qadam
ḳhudā ne kah liyā ḳhud ko sanam sanam ba-sanam
azal se aaj tak nisbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
vahī nisbat kā hai dam dam meñ dam hai dam ba-dam
sātoñ pushtoñ ke sīnoñ meñ nuur bhar jaa.e
nigāh-e-nūr-e-karam ho terā karam ba-karam
jhukā ke sar maiñ ne dekhā tere qadmoñ ke tale
ka.ī haram tere qadmoñ meñ haiñ haram ba-haram
na paayā tujh-sā hasīñ ham ne donoñ aalam meñ
tamām DhūñDā hai ham ne iram iram ba-iram
mujh se mat pūchho mirā siina jhāñk kar dekho
mere nas nas meñ hai nisbat kā bhram ham ba-ham
maiñ chhoḌkar kahāñ jā.ūñ dar-e-sābir se ‘ġhulām’
vo laakh baar bhī Dhaa.e sitam sitam ba-sitam
adam se aai hai nisbat qadam qadam ba-qadam
KHuda ne kah liya KHud ko sanam sanam ba-sanam
azal se aaj tak nisbat ke siwa kuchh bhi nahin
wahi nisbat ka hai dam dam mein dam hai dam ba-dam
saton pushton ke sinon mein nur bhar jae
nigah-e-nur-e-karam ho tera karam ba-karam
jhuka ke sar main ne dekha tere qadmon ke tale
kai haram tere qadmon mein hain haram ba-haram
na paya tujh-sa hasin hum ne donon aalam mein
tamam DhunDa hai hum ne iram iram ba-iram
mujh se mat puchho mera sina jhank kar dekho
mere nas nas mein hai nisbat ka bhram hum ba-ham
main chhoDkar kahan jaun dar-e-sabir se ‘ghulam’
wo lakh bar bhi Dhae sitam sitam ba-sitam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.