jahan hai dekh kar shaida ye mere pir ki surat
jahan hai dekh kar shaida ye mere pir ki surat
Ghulam Rasool Naaib
MORE BYGhulam Rasool Naaib
jahāñ hai dekh kar shaidā ye mere piir kī sūrat
banāyā haq ne ā.īna ye mere piir kī sūrat
nazar miltī hai jis kī us ke fauran hosh uḌte haiñ
ḳhudā kā raaz hai goyā ye mere piir kī sūrat
nazar aayā na koī dūsre meñ dūsrā mujh ko
nazar aa.ī hai ab har-jā ye mere piir kī sūrat
bashar to kyā farishtoñ ke farishta bhī hoñ ḳhud rafta
agar ho jaa.e be-parda mere piir kī sūrat
kiye jā nafī ai naa.ib tu har dam meñ dam ke saath
phir il-lallāh meñ paatā jā mere piir kī sūrat
jahan hai dekh kar shaida ye mere pir ki surat
banaya haq ne aaina ye mere pir ki surat
nazar milti hai jis ki us ke fauran hosh uDte hain
KHuda ka raaz hai goya ye mere pir ki surat
nazar aaya na koi dusre mein dusra mujh ko
nazar aai hai ab har-ja ye mere pir ki surat
bashar to kya farishton ke farishta bhi hon KHud rafta
agar ho jae be-parda mere pir ki surat
kiye ja nafi ai naib tu har dam mein dam ke sath
phir il-lallah mein pata ja mere pir ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.