bina bhi na ho aankh to dekhenge pir tujhko
biinā bhī na ho aañkh to dekheñge piir tujh ko
pahlū meñ dil hai jab tak chāheñge piir tujh ko
ye jaan tere qurbān īmān tere sadqa
ham dil ke but-kada meñ pūjeñge piir tujh ko
terī ham suneñge terī kahā kareñge
har dam ke saath apne rakkheñge piir tujh ko
duniyā bhī chhoḌ deñge maz.hab bhī chhoḌ deñge
tuuhī hai dhan hamārā samjheñge piir tujh ko
'nā.ib' ne jo kahā hai īmān kī kahā hai
tum chāho piir ko to chāheñge piir tujh ko
bina bhi na ho aankh to dekhenge pir tujh ko
pahlu mein dil hai jab tak chahenge pir tujh ko
ye jaan tere qurban iman tere sadqa
hum dil ke but-kada mein pujenge pir tujh ko
teri hum sunenge teri kaha karenge
har dam ke sath apne rakkhenge pir tujh ko
duniya bhi chhoD denge mazhab bhi chhoD denge
tuhi hai dhan hamara samjhenge pir tujh ko
'naib' ne jo kaha hai iman ki kaha hai
tum chaho pir ko to chahenge pir tujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.