khinch di taswir tu ne ai mohabbat pir ki
khīñch dī tasvīr tū ne ai mohabbat piir kī
dil meñ jalva piir kā āñkhoñ meñ sūrat piir kī
dil kā ā.īna-e-ġhubār mā-sivā se paak hai
mā’siyat se duur rakhtī hai ye sohbat piir kī
pairvī murshid kī ho jaatī hai manzil kī taraf
farz hai ahl-e-'aqīdat par itā'at piir kī
dil tajallī-gāh-e-'ishq pīr-e-kāmil ban gayā
maiñ tavañgar huuñ mere ghar meñ hai daulat piir kī
ne'amat-e-dārain haath aa.ī hai apne piir se
un ko miltā hai ḳhudā kī jis ne ḳhidmat-e-pīr kī
maiñ hisāb-e-dil talab karatā huuñ apne piir se
mujh pe ho jaa.e nigāh-e-chashm-e-rahmat piir kī
mere āñkhoñ meñ samā jaatā hai jalva zaat kā
ḳhvāb meñ jab dekh letā huuñ jo sūrat piir kī
vaqt par 'nā.ib' sambhāleñge mere haadī zarūr
jo mere siina ke andar rahe amānat piir kī
khinch di taswir tu ne ai mohabbat pir ki
dil mein jalwa pir ka aankhon mein surat pir ki
dil ka aaina-e-ghubar ma-siwa se pak hai
ma’siyat se dur rakhti hai ye sohbat pir ki
pairwi murshid ki ho jati hai manzil ki taraf
farz hai ahl-e-'aqidat par ita'at pir ki
dil tajalli-gah-e-'ishq pir-e-kaamil ban gaya
main tawangar hun mere ghar mein hai daulat pir ki
ne'amat-e-darain hath aai hai apne pir se
un ko milta hai KHuda ki jis ne KHidmat-e-pir ki
main hisab-e-dil talab karata hun apne pir se
mujh pe ho jae nigah-e-chashm-e-rahmat pir ki
mere aankhon mein sama jata hai jalwa zat ka
KHwab mein jab dekh leta hun jo surat pir ki
waqt par 'naib' sambhaalenge mere hadi zarur
jo mere sina ke andar rahe amanat pir ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.