mujhko to tujhse pyar hai pyare
mujh ko to tujh se pyaar hai pyāre
dil to dil jaañ nisār hai pyāre
tū ne āñkhoñ se vo pilā.ī hai
jis kā ab tak ḳhumār hai pyāre
tere aane se aa ga.ī raunaq
goyā tum se bahār hai pyāre
haaye afsos tum mire na hue
chashm-e-tar ashk-bār hai pyāre
terā milnā to ab nahīñ mumkin
maut kā intizār hai pyāre
jāntā huuñ ki merī jānib se
tere dil meñ ġhubār hai pyāre
maiñ ne lenā hai aur kyā tum se
terī sūrat se pyaar hai pyāre
aur maiñ kyā kahūñ ba-juz is ke
dil bahut be-qarār hai pyāre
tū mirā ban na ban ḳhushī terī
tujh ko sab iḳhtiyār hai pyāre
dil jo apnā tujhe banā na sakā
is liye sharmsār hai pyāre
apnā kah de agar mujhe ai jaañ
is meñ kyā tujh ko aar hai pyāre
mujh ko ulfat huī tujhe nafrat
shān-e-parvardigār hai pyāre
zid na kar le sambhāl ab us ko
dil mirā mujh pe baar hai pyāre
tere muñh se nahīñ nahīñ jachtī
kah de haañ mujh ko pyaar hai pyāre
ab tire lab hilāne par apnī
ziist kā inhisār hai pyāre
baat karnā to darkinār rahā
diid bhī nāgavār hai pyāre
tum hī jab āshnā mire na rahe
kaun phir ġham-gusār hai pyāre
apne 'mushtāq' kī ḳhabar liijo
be-ruḳhī kā shikār hai pyāre
qabr-e-'mushtāq' par zarā aao
bebasī kā mazār hai pyāre
mujh ko to tujh se pyar hai pyare
dil to dil jaan nisar hai pyare
tu ne aankhon se wo pilai hai
jis ka ab tak KHumar hai pyare
tere aane se aa gai raunaq
goya tum se bahaar hai pyare
haye afsos tum mere na hue
chashm-e-tar ashk-bar hai pyare
tera milna to ab nahin mumkin
maut ka intizar hai pyare
jaanta hun ki meri jaanib se
tere dil mein ghubar hai pyare
main ne lena hai aur kya tum se
teri surat se pyar hai pyare
aur main kya kahun ba-juz is ke
dil bahut be-qarar hai pyare
tu mera ban na ban KHushi teri
tujh ko sab iKHtiyar hai pyare
dil jo apna tujhe bana na saka
is liye sharmsar hai pyare
apna kah de agar mujhe ai jaan
is mein kya tujh ko aar hai pyare
mujh ko ulfat hui tujhe nafrat
shan-e-parwardigar hai pyare
zid na kar le sambhaal ab us ko
dil mera mujh pe bar hai pyare
tere munh se nahin nahin jachti
kah de han mujh ko pyar hai pyare
ab tere lab hilane par apni
zist ka inhisar hai pyare
baat karna to darkinar raha
did bhi nagawar hai pyare
tum hi jab aashna mere na rahe
kaun phir gham-gusar hai pyare
apne 'mushtaq' ki KHabar lijo
be-ruKHi ka shikar hai pyare
qabr-e-'mushtaq' par zara aao
bebasi ka mazar hai pyare
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.