raat sari janab KHub rahi
raat saarī janāb ḳhuub rahī
intizārī janāb ḳhuub rahī
kisī pahlū bhī chain aa na sakā
be-qarārī janāb ḳhuub rahī
jazba-e-dil tumheñ na khīñch sakā
sharm saarī janāb ḳhuub rahī
rote-rote sahar huī ākHir
ashk-bārī janāb ḳhuub rahī
hāl-e-dil aaj tak nahīñ pūchhā
ġham-gusārī janāb ḳhuub rahī
allāh-allāh kisī kī furqat meñ
āh-o-zārī janāb ḳhuub rahī
sab sukūn-o-qarār chhīn liyā
terī yaarī janāb ḳhuub rahī
kar diyā kū-ba-kū mujhe rusvā
parda-dārī janāb ḳhuub rahī
kah sakā vasl meñ na dil kī baat
raat saarī janāb ḳhuub rahī
chashm-e-mai-gūñ ko jab se dekhā hai
phir ḳhumārī janāb ḳhuub rahī
qabr-e-'mushtāq' par na tum aa.e
intizārī janāb ḳhuub rahī
raat sari janab KHub rahi
intizari janab KHub rahi
kisi pahlu bhi chain aa na saka
be-qarari janab KHub rahi
jazba-e-dil tumhein na khinch saka
sharm sari janab KHub rahi
rote-rote sahar hui aakHir
ashk-bari janab KHub rahi
haal-e-dil aaj tak nahin puchha
gham-gusari janab KHub rahi
allah-allah kisi ki furqat mein
aah-o-zari janab KHub rahi
sab sukun-o-qarar chhin liya
teri yari janab KHub rahi
kar diya ku-ba-ku mujhe ruswa
parda-dari janab KHub rahi
kah saka wasl mein na dil ki baat
raat sari janab KHub rahi
chashm-e-mai-gun ko jab se dekha hai
phir KHumari janab KHub rahi
qabr-e-'mushtaq' par na tum aae
intizari janab KHub rahi
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.