kyun pareshan hai tabiat aaj-kal
kyuuñ pareshāñ hai tabī'at āj-kal
kyā kisī se hai mohabbat āj-kal
allāh allāh kis qadar marġhūb hai
us kā naqsha us kī sūrat āj-kal
dil meñ hasrat hai ki phir dekhūñ use
dil pe hai jis kī hukūmat āj-kal
sāmne us ke na lenā merā naam
dil meñ rakhtā hai kudūrat āj-kal
dil lagāne kā yahī anjām hai
hai musībat par musībat āj-kal
rāz-e-ulfat ab bhalā kaise chhupe
hai 'ayāñ sab par haqīqat āj-kal
rañg to achchhe haiñ sab dil ko magar
bhā ga.ī hai kaalī rañgat āj-kal
kyā ab bhī baaqī hai kuchh jaur-o-sitam
is qadar kyuuñ hai 'ināyat āj-kal
ab dil-e-'mushtāq' kā hāfiz ḳhudā
le gayā ik be-muravvat āj-kal
kyun pareshan hai tabi'at aaj-kal
kya kisi se hai mohabbat aaj-kal
allah allah kis qadar marghub hai
us ka naqsha us ki surat aaj-kal
dil mein hasrat hai ki phir dekhun use
dil pe hai jis ki hukumat aaj-kal
samne us ke na lena mera nam
dil mein rakhta hai kudurat aaj-kal
dil lagane ka yahi anjam hai
hai musibat par musibat aaj-kal
raaz-e-ulfat ab bhala kaise chhupe
hai 'ayan sab par haqiqat aaj-kal
rang to achchhe hain sab dil ko magar
bha gai hai kali rangat aaj-kal
kya ab bhi baqi hai kuchh jaur-o-sitam
is qadar kyun hai 'inayat aaj-kal
ab dil-e-'mushtaq' ka hafiz KHuda
le gaya ek be-murawwat aaj-kal
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.