ghuncha-sa lab band hai shor-e-’anadil dil mein hai
ghuncha-sa lab band hai shor-e-’anadil dil mein hai
Khwaja Hameeduddin Ahmad
MORE BYKhwaja Hameeduddin Ahmad
ġhuncha-sā lab band hai shor-e-’anādil dil meñ hai
lab pe hai mohr-e-sukūt ik shor barpā dil meñ hai
rāz-e-ulfat kyā kahe'n 'āshiq 'ajab mushkil meñ hai
naar meñ hai baad meñ hai aab meñ hai gul meñ hai
chashm-e-majnūñ ke liye dīdār-e-lailā har jagah
varna ġhairoñ ke liye sad parda-e-mahmil meñ hai
thā jo masjūd-e-malā.ik bazm meñ aflāk pe
ban ke aayā phir vahī ab miir is mahfil meñ hai
'ishq ki barkāt se qaa.em huī rāh-e-'hamīd'
jalva-o-husn-o-latīf us ke har ik manzil meñ hai
ghuncha-sa lab band hai shor-e-’anadil dil mein hai
lab pe hai mohr-e-sukut ek shor barpa dil mein hai
raaz-e-ulfat kya kahe'n 'ashiq 'ajab mushkil mein hai
nar mein hai baad mein hai aab mein hai gul mein hai
chashm-e-majnun ke liye didar-e-laila har jagah
warna ghairon ke liye sad parda-e-mahmil mein hai
tha jo masjud-e-malaik bazm mein aflak pe
ban ke aaya phir wahi ab mir is mahfil mein hai
'ishq ki barkat se qaem hui rah-e-'hamid'
jalwa-o-husn-o-latif us ke har ek manzil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.