guru darshan bhagwan ka darshan sifat mein zat samai re
guru darshan bhagwan ka darshan sifat mein zat samai re
Meera'n Bheekh
MORE BYMeera'n Bheekh
guru darshan bhagvān kā darshan sifat meñ zaat samā.ī re
guru bin gyaan nahīñ bha.ī sādho guru ne baat batā.ī re
guru īshvar meñ farq na jaano gar īshvar kā 'ain hī jaano
guru sūrat bhagvān kī sūrat guru pahchān karā.ī re
har-dam dhyān guru meñ rakhnā sar ko rakhnā charnoñ meñ
guru kirpā kā pī kar amrit qalb kī hoy safā.ī re
sab sañtan kā ye hī kahnā ho ke guru ke hī rahnā
ho ke rahe jo guru kā soī bhagti us ne paa.ī re
guru kā jaap jape jā har-dam raam jape phir jaap terā
karatā jā guru kī puujā puuje tohe ḳhudā.ī re
'bhīkhā' bhajan guru ke gā.iye guru raazī rab raazī re
guru rūThe nahīñ Thaur jagat meñ rūThe sabhī ḳhudā.ī re
guru darshan bhagwan ka darshan sifat mein zat samai re
guru bin gyan nahin bhai sadho guru ne baat batai re
guru ishwar mein farq na jaano gar ishwar ka 'ain hi jaano
guru surat bhagwan ki surat guru pahchan karai re
har-dam dhyan guru mein rakhna sar ko rakhna charnon mein
guru kirpa ka pi kar amrit qalb ki hoy safai re
sab santan ka ye hi kahna ho ke guru ke hi rahna
ho ke rahe jo guru ka soi bhagti us ne pai re
guru ka jap jape ja har-dam ram jape phir jap tera
karata ja guru ki puja puje tohe KHudai re
'bhikha' bhajan guru ke gaiye guru raazi rab raazi re
guru ruThe nahin Thaur jagat mein ruThe sabhi KHudai re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.