guzashta KHak-nashinon ki yaadgar hun main
guzashta ḳhāk-nashīnoñ kī yādgār huuñ maiñ
miTā huā sā nishān-e-sar-e-mazār huuñ maiñ
ġharīb chāhne vāloñ meñ tere yaar huuñ maiñ
dimāġh arsh pe zāhir meñ ḳhāksār huuñ maiñ
tire karam meñ kamī kuchh nahīñ karīm hai tū
mirā qusūr hai jhūTā ummīd-vār huuñ maiñ
paḌā hai dast-e-ajal mujh pe laakh baar magar
nikal gayā huuñ taḌap kar vo be-qarār huuñ maiñ
kuchh aaj maiñ ne na.ī pī hai hazrat-e-vā.is
azal kā mast purānā sharāb-ḳhvār huuñ maiñ
nigāh-e-garm se mujh ko na dekh ai dozaḳh
ḳhabar nahīñ tujhe kis kā gunāh-gār huuñ maiñ
zamīn-e-qasr-e-salātīñ se aa rahī hai sadā
ki aaj manzil-e-ishrat huuñ kal mazār huuñ maiñ
phir us kī shān-e-karīmī ke hausle dekhe
gunāhgār ye kah de gunāhgār huuñ maiñ
jo mast hosh meñ aane kā qasd karatā hai
pukārtā hai ye saaqī ki hoshiyār huuñ maiñ
vo kushta huuñ ki mirī laash jis taraf guzrī
zamīñ pukār uThī qābil-e-mazār huuñ maiñ
huzūr-e-vasl kī hasrat azal se hai mujh ko
ḳhayāl kījiye kab se umīd-vār huuñ maiñ
ḳhabar nahīñ use rotā huuñ haal par jis ke
udaas sūrat-e-sham.a-e-sar-e-mazār huuñ meñ
shab-e-firāq mirī jaan dil se kahtī hai
taḌap chukā ho agar tū to be-qarār huuñ maiñ
balā.eñ letī hai phir phir ke gard-e-naumīdī
ye kis ke dar par ilāhī umīd-vār huuñ maiñ
vo be-qarār huuñ dekhe agar taḌap merī
qarār bhī ye pukāre ki be-qarār huuñ maiñ
pukārtā hai ye mūbāf us kī choTī kā
ki sab se pīchhe huuñ par choTī kā siñgār huuñ maiñ
baḌe maze se guzartī hai be-ḳhudī meñ 'amīr'
vo din ḳhudā na dikhā.e ki hoshiyār huuñ maiñ
guzashta KHak-nashinon ki yaadgar hun main
miTa hua sa nishan-e-sar-e-mazar hun main
gharib chahne walon mein tere yar hun main
dimagh arsh pe zahir mein KHaksar hun main
tere karam mein kami kuchh nahin karim hai tu
mera qusur hai jhuTa ummid-war hun main
paDa hai dast-e-ajal mujh pe lakh bar magar
nikal gaya hun taDap kar wo be-qarar hun main
kuchh aaj main ne nai pi hai hazrat-e-wais
azal ka mast purana sharab-KHwar hun main
nigah-e-garm se mujh ko na dekh ai dozaKH
KHabar nahin tujhe kis ka gunah-gar hun main
zamin-e-qasr-e-salatin se aa rahi hai sada
ki aaj manzil-e-ishrat hun kal mazar hun main
phir us ki shan-e-karimi ke hausle dekhe
gunahgar ye kah de gunahgar hun main
jo mast hosh mein aane ka qasd karata hai
pukarta hai ye saqi ki hoshiyar hun main
wo kushta hun ki meri lash jis taraf guzri
zamin pukar uThi qabil-e-mazar hun main
huzur-e-wasl ki hasrat azal se hai mujh ko
KHayal kijiye kab se umid-war hun main
KHabar nahin use rota hun haal par jis ke
udas surat-e-shama-e-sar-e-mazar hun mein
shab-e-firaq meri jaan dil se kahti hai
taDap chuka ho agar tu to be-qarar hun main
balaen leti hai phir phir ke gard-e-naumidi
ye kis ke dar par ilahi umid-war hun main
wo be-qarar hun dekhe agar taDap meri
qarar bhi ye pukare ki be-qarar hun main
pukarta hai ye mubaf us ki choTi ka
ki sab se pichhe hun par choTi ka singar hun main
baDe maze se guzarti hai be-KHudi mein 'amir'
wo din KHuda na dikhae ki hoshiyar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.