hadaf jis ka faqat dil ho main aise tir ke qurban
hadaf jis ka faqat dil ho main aise tir ke qurban
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
hadaf jis kā faqat dil ho maiñ aise tiir ke qurbāñ
badan jis se na ghā.il ho maiñ us shamshīr ke qurbāñ
jo lailā ne kaha hans ke ki beḌī Daal do us ke
gayā ban qais dīvāna huā Zanjīr ke qurbāñ
kaho shīrīñ se jā baiTHe maze se ghar me.in ḳhusrau ke
hua Farhād us ke dam se juue shiir ke qurbāñ
uThā kar burqā mukhDe se zarā sūrat to dikhlā de
hijāb itnā na kar mujh se tirī tasvīr ke qurbāñ
tū ḳhaak apne qadam kī de na kar mohtāj kundan kā
kise miltī hai ye daulat maiñ us iksīr ke qurbāñ
'turāb' us ne javānī meñ mujhe pīroñ kī ne.amat dī
banāyā piir mujh ko maiñ to apne piir ke qurbāñ
hadaf jis ka faqat dil ho main aise tir ke qurban
badan jis se na ghail ho main us shamshir ke qurban
jo laila ne kaha hans ke ki beDi Dal do us ke
gaya ban qais diwana hua Zanjir ke qurban
kaho shirin se ja baiTHe maze se ghar mein KHusrau ke
hua Farhad us ke dam se jue shir ke qurban
uTha kar burqa mukhDe se zara surat to dikhla de
hijab itna na kar mujh se teri taswir ke qurban
tu KHak apne qadam ki de na kar mohtaj kundan ka
kise milti hai ye daulat main us iksir ke qurban
'turab' us ne jawani mein mujhe piron ki neamat di
banaya pir mujh ko main to apne pir ke qurban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.