samjha hua hun shumi-e-dast-e-du’a ko main
samjhā huā huuñ shūmī-e-dast-e-du’ā ko maiñ
kuchh roz aur dekh rahā huuñ ḳhudā ko maiñ
sābit-qadam rahūñ ki talātum kā saath duuñ
sāhil ke ruḳh to lā na sakūñgā havā ko maiñ
kashtī ḳhudā pe chhoḌ ke baiThā hai mutma.in
dariyā meñ pheñk duuñ na kahīñ nā-ḳhudā ko maiñ
insān huuñ kHatā-e-vafā baḳhsh dījiye
bas kījiye pahuñch to chukā huuñ sazā ko maiñ
matlab-parast dost na aa.e fareb meñ
baiThā rahā liye hue dām-e-vafā ko maiñ
aa ai junūn-e-'ishq kī takmīl-e-zīst ho
toḌūñ tilism kHāna-e-arz-o-samā ko maiñ
samjha hua hun shumi-e-dast-e-du’a ko main
kuchh roz aur dekh raha hun KHuda ko main
sabit-qadam rahun ki talatum ka sath dun
sahil ke ruKH to la na sakunga hawa ko main
kashti KHuda pe chhoD ke baiTha hai mutmain
dariya mein phenk dun na kahin na-KHuda ko main
insan hun kHata-e-wafa baKHsh dijiye
bas kijiye pahunch to chuka hun saza ko main
matlab-parast dost na aae fareb mein
baiTha raha liye hue dam-e-wafa ko main
aa ai junun-e-'ishq ki takmil-e-zist ho
toDun tilism kHana-e-arz-o-sama ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.