kaun mujhe aaj jaga kar gaya
kaun mujhe aaj jagā kar gayā
husn-e-kHudā daad dikhā kar gayā
naqsh-e-qadam ho ga.e vahāñ saiñkaḌoñ
chalte hī chalte jo adā kar gayā
dekho to aalam ko but-e-nāznīn
ek karishme meñ fidā kar gayā
kis kī thī ye baaḌ ki qātil ne aaj
baiThe hue aañkh laḌā kar gayā
chauñk maiñ bedār huā ḳhvāb se
siine se us ne jo lagā kar gayā
zulm-o-sitam aisā na dekhā kahīñ
aap hañsā ham ko raulā kar gayā
kyuuñ na hoñ farhād vo shīrīñ adā
sharbat-e-dīdār pilā kar gayā
zauq se ab mast huā huuñ 'habīb'
jām-e-mohabbat jo pilā kar gayā
kaun mujhe aaj jaga kar gaya
husn-e-kHuda dad dikha kar gaya
naqsh-e-qadam ho gae wahan sainkaDon
chalte hi chalte jo ada kar gaya
dekho to aalam ko but-e-naznin
ek karishme mein fida kar gaya
kis ki thi ye baD ki qatil ne aaj
baiThe hue aankh laDa kar gaya
chaunk main bedar hua KHwab se
sine se us ne jo laga kar gaya
zulm-o-sitam aisa na dekha kahin
aap hansa hum ko raula kar gaya
kyun na hon farhad wo shirin ada
sharbat-e-didar pila kar gaya
zauq se ab mast hua hun 'habib'
jam-e-mohabbat jo pila kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.