chahat mein teri ai jaan-e-jahan sab aish-e-zamana chhoD diya
chāhat meñ tirī ai jān-e-jahāñ sab 'aish-e-zamāna chhoḌ diyā
us 'ishq meñ pahnī kafnī malbūs-e-shahāna chhoḌ diyā
shaidā kā tire ai rashk-e-qamar dil hijr meñ tere hai muztar
phirtā huuñ har ik sau ḳhaak ba-sirr hur zamāna zamāna chhoḌ diiyā
bedād se terī ḳhuub milā kuchh ḳhalish kā tere ham ko maza
dil ho gayā jab TukḌe-TukḌe tīroñ ne nishāna chhoḌ diyā
'umr apnī kaTī sab ḳhvārī meñ din zaarī shab-bedārī meñ
bus seh ke sitam mā'shūqoñ ke ab dil kā lagānā chhoḌ diyā
hai ulfat meñ sādiq ye asar hai barsar-e-mehr jo vo dilbar
ab us ne nazar se 'hāfiz' kī sūrat kā chhupānā chhoḌ diyā
chahat mein teri ai jaan-e-jahan sab 'aish-e-zamana chhoD diya
us 'ishq mein pahni kafni malbus-e-shahana chhoD diya
shaida ka tere ai rashk-e-qamar dil hijr mein tere hai muztar
phirta hun har ek sau KHak ba-sirr hur zamana zamana chhoD diya
bedad se teri KHub mila kuchh KHalish ka tere hum ko maza
dil ho gaya jab TukDe-TukDe tiron ne nishana chhoD diya
'umr apni kaTi sab KHwari mein din zari shab-bedari mein
bus seh ke sitam ma'shuqon ke ab dil ka lagana chhoD diya
hai ulfat mein sadiq ye asar hai barsar-e-mehr jo wo dilbar
ab us ne nazar se 'hafiz' ki surat ka chhupana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.