Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

naqab-e-chehra-e-anwar uTha doge to kya hoga

Hafiz

naqab-e-chehra-e-anwar uTha doge to kya hoga

Hafiz

naqāb-e-chehra-e-anvār uThā doge to kyā hogā

jamāl apnā jo 'āshiq ko dikhā doge to kyā hogā

mirī ummīd kashtī tirā doge to kyā hogā

kināre ġham ke dariyā se lagā doge to kyā hogā

dil-e-vīrāna-e-'āshiq basā doge to kyā hogā

galī meñ apnī gar thoḌī jagah doge to kyā hogā

harā baaġh tamannā ko banā doge to kyā hogā

hamāre ġhuncha-e-dil ko khilā doge to kyā hogā

taḌaptā hai dil 'āshiq ġham-e-hijrāñ ke sadmoñ se

tum is dard-e-judā.ī ko miTā doge to kyā hogā

pilā do sharbat-e-dīdār soz-e-ġham se jaltā huuñ

lagī ko tum mire dil bujhā doge to kyā hogā

agar shakl apnī 'hāfiz' ko dikhāne se ho sharmāte

zarā āvāz parda se sunā doge to kyā hogā

naqab-e-chehra-e-anwar uTha doge to kya hoga

jamal apna jo 'ashiq ko dikha doge to kya hoga

meri ummid ki kashti tera doge to kya hoga

kinare gham ke dariya se laga doge to kya hoga

dil-e-virana-e-'ashiq basa doge to kya hoga

gali mein apni gar thoDi jagah doge to kya hoga

hara bagh tamanna ko bana doge to kya hoga

hamare ghuncha-e-dil ko khila doge to kya hoga

taDapta hai dil 'ashiq gham-e-hijran ke sadmon se

tum is dard-e-judai ko miTa doge to kya hoga

pila do sharbat-e-didar soz-e-gham se jalta hun

lagi ko tum mere dil ki bujha doge to kya hoga

agar shakl apni 'hafiz' ko dikhane se ho sharmate

zara aawaz parda se suna doge to kya hoga

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now