ye KHumar-e-nind kya hai shab-e-wasl yar jago
ye ḳhumār-e-nīñd kyā hai shab-e-vasl yaar jaago
mirī jaañ hai tum pe sadqe mire jāñ-nisār jaago
jo mazā hai jāgte meñ na vo lutf hai kisī meñ
shab-e-vasl kah rahā huuñ yahī baar baar jaago
dil-e-dāġh-dār merā hai shagufta baaġh jaago
karo sair us kī dekho hai 'ajab bahār jaago
ye hai kaisā nasha-e-mul nahīñ hosh zevar-e-gul
maiñ tumheñ gale lagā luuñ tumheñ kar luuñ pyaar jaago
hai udhar se ḳhvāb-e-ġhaflat aur iztirāb-o-hasrat
nahīñ chain lene detā dil-e-be-qarār jaago
huī bahut intizārī ki hai dil ko be-qarārī
dil-e-‘hāfiz’-e-hazīñ ko nahīñ ab qarār jaago
ye KHumar-e-nind kya hai shab-e-wasl yar jago
meri jaan hai tum pe sadqe mere jaan-nisar jago
jo maza hai jagte mein na wo lutf hai kisi mein
shab-e-wasl kah raha hun yahi bar bar jago
dil-e-dagh-dar mera hai shagufta bagh jago
karo sair us ki dekho hai 'ajab bahaar jago
ye hai kaisa nasha-e-mul nahin hosh zewar-e-gul
main tumhein gale laga lun tumhein kar lun pyar jago
hai udhar se KHwab-e-ghaflat aur iztirab-o-hasrat
nahin chain lene deta dil-e-be-qarar jago
hui bahut intizari ki hai dil ko be-qarari
dil-e-‘hafiz’-e-hazin ko nahin ab qarar jago
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.