aas lagi hai darshan ki mohe aas lagi hai darshan ki
aas lagi hai darshan ki mohe aas lagi hai darshan ki
Hafiz Sher Muhammad Ambalvi
MORE BYHafiz Sher Muhammad Ambalvi
aas lagī hai darshan kī mohe aas lagī hai darshan kī
aañkh meñ aañsū hoñT pe naale
Tiis jigar meñ dil par chhāle
aa jā aa jā kamlī vaale
toḌ na aashā jogan kī
mohe aas lagī hai darshan kī
sundar pirītam gyaan dulāre
madnī bālam parān se pyāre
aan paḌī huuñ gor kināre
ḳhaak uḌā kar ban ban kī
mohe aas lagī hai darshan kī
chup hai papīhā pī pī kah kar
koyal kūkat hai rah rah kar
martī rahī huuñ sadme sah kar
yaad meñ ahmad mohan kī
mohe aas lagī hai darshan kī
daasī kauman se na bisāro
laaj bachāo kaaj sañvāro
jurm natāro karm sudhāro
bigḌī banā do pāpan kī
mohe aas lagī hai darshan kī
mohan shaam mahammad svāmī
dukhiyārī kī bhar lo haamī
had se baḌhī hai be-ārāmī
duur kaaro chintā man kī
mohe aas lagī hai darshan kī
aas lagi hai darshan ki mohe aas lagi hai darshan ki
aankh mein aansu honT pe nale
Tis jigar mein dil par chhaale
aa ja aa ja kamli wale
toD na aasha jogan ki
mohe aas lagi hai darshan ki
sundar piritam gyan dulare
madni baalam paran se pyare
aan paDi hun gor kinare
KHak uDa kar ban ban ki
mohe aas lagi hai darshan ki
chup hai papiha pi pi kah kar
koyal kukat hai rah rah kar
marti rahi hun sadme sah kar
yaad mein ahmad mohan ki
mohe aas lagi hai darshan ki
dasi kauman se na bisaro
laj bachao kaj sanwaro
jurm nataro karm sudhaaro
bigDi bana do papan ki
mohe aas lagi hai darshan ki
mohan sham mahammad swami
dukhiyari ki bhar lo hami
had se baDhi hai be-arami
dur karo chinta man ki
mohe aas lagi hai darshan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.