Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hai wajh koī ḳhas mirī aañkh jo nam hai

Fana Bulandshahri

hai wajh koī ḳhas mirī aañkh jo nam hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    hai vaj.h koī ḳhaas mirī aañkh jo nam hai

    bas itnā samajhtā huuñ ki ye un karam hai

    ye ishq me.arāj hai un karam hai

    har vaqt mire sāmne tasvīr-e-sanam hai

    ka.abe se ta.alluq hai na but-ḳhāne ġham hai

    hāsil mire sajdoñ tirā naqsh-e-qadam hai

    dīvānoñ pe kis darja tirā lutf-o-karam hai

    baḳhshā hai jo ġham ne vahī hāsil-e-ġham hai

    sar jab se jhukāyā hai dar-e-yār pe maiñ ne

    mehrāb-e-ḳhudī jalva-gah-e-sham-e-haram hai

    kyā kaam zamāne se use ai shah-e-ḳhūbāñ

    taqdīr meñ jis tirī furqat alam hai

    kaunain badal jaa.e magar na badalnā

    tere sabab ahl-e-mohabbat bharam hai

    palkoñ pe bikharte haiñ tirī yaad ke motī

    har ashk-e-nadāmat tirā andāz-e-karam hai

    zāhir meñ koī ka.aba koī dair-o-kalīsā

    bātin meñ har ik chiiz tirā naqsh-e-qadam hai

    kar apnī nazar se mire īmān saudā

    ai dost tujhe merī mohabbat qasam hai

    ye umr guzar jaa.e magar hosh na aa.e

    sar shauq-e-ibādat meñ dar-e-yār pe ḳham hai

    ai dost tire ishq meñ pahuñchā huuñ yahāñ tak

    āñkhoñ meñ sanam-ḳhāna hai siine meñ haram hai

    kis tarah 'fanā' chhoḌūñ sanam-ḳhāna-e-ulfat

    hāsil mire īmān dīdār-e-sanam hai

    duniyā se nirālī hai 'fanā' maqtal-e-ulfat

    is maqtal-e-ulfat meñ jo sar hai vo qalam hai

    hai wajh koī ḳhas mirī aañkh jo nam hai

    bas itnā samajhtā huñ ki ye un karam hai

    ye ishq mearāj hai un karam hai

    har waqt mere sāmne taswīr-e-sanam hai

    kabe se talluq hai na but-ḳhāne ġham hai

    hāsil mere sajdoñ tirā naqsh-e-qadam hai

    dīwānoñ pe kis darja tirā lutf-o-karam hai

    baḳhshā hai jo ġham ne wahī hāsil-e-ġham hai

    sar jab se jhukāyā hai dar-e-yār pe maiñ ne

    mehrāb-e-ḳhudī jalwa-gah-e-sham-e-haram hai

    kyā kaam zamāne se use ai shah-e-ḳhūbāñ

    taqdīr meñ jis tirī furqat alam hai

    kaunain badal jae magar na badalnā

    tere sabab ahl-e-mohabbat bharam hai

    palkoñ pe bikharte haiñ tirī yaad ke motī

    har ashk-e-nadāmat tirā andāz-e-karam hai

    zāhir meñ koī kaba koī dair-o-kalīsā

    bātin meñ har ek chiz tirā naqsh-e-qadam hai

    kar apnī nazar se mere īmān saudā

    ai dost tujhe merī mohabbat qasam hai

    ye umr guzar jae magar hosh na aae

    sar shauq-e-ibādat meñ dar-e-yār pe ḳham hai

    ai dost tere ishq meñ pahuñchā huñ yahāñ tak

    āñkhoñ meñ sanam-ḳhāna hai sine meñ haram hai

    kis tarah 'fanā' chhoḌūñ sanam-ḳhāna-e-ulfat

    hāsil mere īmān dīdār-e-sanam hai

    duniyā se nirālī hai 'fanā' maqtal-e-ulfat

    is maqtal-e-ulfat meñ jo sar hai wo qalam hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Qamar Warsi

    Qamar Warsi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now