koī aayā hai yahāñ phūlne phalne ke liye
mujh ko paidā kiyā allāh ne jalne ke liye
khīñchiye teġh-e-adā sar ko jhukāyā maiñ ne
aarzū dil meñ hai be-chain nikalne ke liye
kūcha-e-yār meñ allāh re hujūm-e-'ushshāq
koī niklā hai sar-e-bām Tahalne ke ke liye
ro-ro kahtī hai sham' laash pe parvāne ke
tum to jal bujh ga.e ik maiñ hī huuñ jalne ke liye
apne bīmār-e-mohabbat kī ḳhabar le zālim
ruuh ghabrātī hai qālib se nikalne ke ke liye
she'r-goī meñ na barbād raho ai 'hairat'
shaġhl ab chāhiye kuchh phūlne phalne ke liye
koi aaya hai yahan phulne phalne ke liye
mujh ko paida kiya allah ne jalne ke liye
khinchiye tegh-e-ada sar ko jhukaya main ne
aarzu dil mein hai be-chain nikalne ke liye
kucha-e-yar mein allah re hujum-e-'ushshaq
koi nikla hai sar-e-baam Tahalne ke ke liye
ro-ro kahti hai sham' lash pe parwane ke
tum to jal bujh gae ek main hi hun jalne ke liye
apne bimar-e-mohabbat ki KHabar le zalim
ruh ghabraati hai qalib se nikalne ke ke liye
she'r-goi mein na barbaad raho ai 'hairat'
shaghl ab chahiye kuchh phulne phalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.