zuhur-e-nur-e-rahmat hai tamam atraf kaba mein
zuhur-e-nur-e-rahmat hai tamam atraf kaba mein
Haji Waris Ali Shah
MORE BYHaji Waris Ali Shah
zuhūr-e-nūr-e-rahmat hai tamām atrāf ka.aba meñ
qalam kyā ḳhaak uThā.egā koī ausāf ka.aba meñ
agar rizvāñ ko yak dam bhī ḳhudā kar de tamāshā.ī
iram ko bhuul jaaye phir namāzī laaf ka.aba meñ
ġhubār-e-āstāñ har roz jhāḌe mehr-e-mizhgāñ se
bichhā.e maah har shab chādar-e-shaffāf ka.aba meñ
nahīñ hotā hai naafā juz maqām-e-nāf meñ paidā
ġhazāl-e-arz kī haq ne banā.ī naaf ka.aba meñ
mire lāshe ko bhī paivand-e-ḳhāk-e-ka.aba kar denā
milāyā tuune yā-rab jis tarah se kaaf ka.aba meñ
gunāhān-e-saġhīra saaf dhul jaate haiñ zaa.er ke
kabīra ke liye bhī kuchh hai istiḳhfāf ka.aba meñ
nasīb-e-zā.irāñ be-shak karāmāt-o-buzurgī hai
hamesha se sharf paate rahe aslāf ka.aba meñ
zahe izzat zahe tauqīr kHuddāmān-e-āñjā ke
ba-az ashrāf haiñ rahte haiñ jo ajlāf ka.aba meñ
sila is vasf-goī kā nahīñ milne kā kuchh tujh ko
magar jab pahuñchegā ai banda-e-ausāf ka.aba meñ
sifat tū kyā bayāñ karatā hai mansūr-e-anal-haq kī
hazāroñ is tarah ke haiñ paḌe naddāf ka.aba meñ
agar chashm-e-haqīqat-bīñ koī rakhtā hai ai 'vāris'
kHudā-mustafā ko dekh leve saaf ka.aba meñ
zuhur-e-nur-e-rahmat hai tamam atraf kaba mein
qalam kya KHak uThaega koi ausaf kaba mein
agar rizwan ko yak dam bhi KHuda kar de tamashai
iram ko bhul jaye phir namazi laf kaba mein
ghubar-e-astan har roz jhaDe mehr-e-mizhgan se
bichhae mah har shab chadar-e-shaffaf kaba mein
nahin hota hai nafa juz maqam-e-naf mein paida
ghazal-e-arz ki haq ne banai naf kaba mein
mere lashe ko bhi paiwand-e-KHak-e-kaba kar dena
milaya tune ya-rab jis tarah se kaf kaba mein
gunahan-e-saghira saf dhul jate hain zaer ke
kabira ke liye bhi kuchh hai istiKHfaf kaba mein
nasib-e-zairan be-shak karamat-o-buzurgi hai
hamesha se sharf pate rahe aslaf kaba mein
zahe izzat zahe tauqir kHuddaman-e-anja ke
ba-az ashraf hain rahte hain jo ajlaf kaba mein
sila is wasf-goi ka nahin milne ka kuchh tujh ko
magar jab pahunchega ai banda-e-ausaf kaba mein
sifat tu kya bayan karata hai mansur-e-anal-haq ki
hazaron is tarah ke hain paDe naddaf kaba mein
agar chashm-e-haqiqat-bin koi rakhta hai ai 'waris'
kHuda-mustafa ko dekh lewe saf kaba mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.