iram hai KHuld hai ya karbala hai
Interesting Fact
منقبت درشان شہیدانِ کربلا۔
iram hai ḳhuld hai yā karbalā hai
zuhūr-e-qudrat-e-rabbul-ulā hai
muqīm us jā koī gulgūñ qabā hai
ki jis par dil mirā yā-rab fidā hai
sabā laatī hai bū bhar-bhar ke dāmāñ
ilāhī kaun gul us jā khilā hai
huā pur-nūr jis se sharq-tā-ġharb
vo kaisā āftāb-e-pur-ziyā hai
malā.ek haiñ jahāñ darbān-o-kHādim
ḳhudā jaane vahāñ asrār kyā hai
niyāz us ko bhalā kab ho kisī se
ḳharīdār us ke nāzoñ kā ḳhudā hai
kiyā mal.ūn ne shah par chaḌhā.ī
falak ko aaj tak ranj-o'anā hai
jigar ḳhūnī hue roz-e-shahādat
gavāh us ramz kī barg-e-hinā hai
huī jis dam shahādat māriyā meñ
tabhī se nām-zad karb-o-balā hai
Thahartā hī nahīñ 'vāris' kisī jā
kisī kī justujū meñ phir rahā hai
iram hai KHuld hai ya karbala hai
zuhur-e-qudrat-e-rabbul-ula hai
muqim us ja koi gulgun qaba hai
ki jis par dil mera ya-rab fida hai
saba lati hai bu bhar-bhar ke daman
ilahi kaun gul us ja khila hai
hua pur-nur jis se sharq-ta-gharb
wo kaisa aaftab-e-pur-ziya hai
malaek hain jahan darban-o-kHadim
KHuda jaane wahan asrar kya hai
niyaz us ko bhala kab ho kisi se
KHaridar us ke nazon ka KHuda hai
kiya malun ne shah par chaDhai
falak ko aaj tak ranj-o'ana hai
jigar KHuni hue roz-e-shahadat
gawah us ramz ki barg-e-hina hai
hui jis dam shahadat mariya mein
tabhi se nam-zad karb-o-bala hai
Thaharta hi nahin 'waris' kisi ja
kisi ki justuju mein phir raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.