hum is kuche mein jab tak jaan hai aaenge jaenge
ham is kūche meñ jab tak jaan hai ā.eñge jā.eñge
mareñge bhī to is kī ḳhaak meñ milne ko ā.eñge
maiñ jin kā huuñ unhīñ ko fikr hai har kaam kī merī
mire mushkil-kushā ḳhud hī mirī bigḌī banā.eñge
hamārī aarzū tum ho salāmat tum raho bas hai
hamārā kyā hai ham sarkār par qurbān jā.eñge
vo manzar dīdanī hogā kareñge rashk sab un par
gunah-gāroñ ko jab sarkār dāman meñ chhupā.eñge
koī parda vo chhin jaate haiñ jalve rū-e-raushan se
jahāñ baiThoge tum chhup kar vahīñ jalva dikhā.eñge
na chhoḌūñgā qadam un ke fidā ho jā.ūñgā un par
‘shahansha’ aa jā bar aaqā mire tashrīf lā.eñge
hum is kuche mein jab tak jaan hai aaenge jaenge
marenge bhi to is ki KHak mein milne ko aaenge
main jin ka hun unhin ko fikr hai har kaam ki meri
mere mushkil-kusha KHud hi meri bigDi banaenge
hamari aarzu tum ho salamat tum raho bas hai
hamara kya hai hum sarkar par qurban jaenge
wo manzar didani hoga karenge rashk sab un par
gunah-garon ko jab sarkar daman mein chhupaenge
koi parda wo chhin jate hain jalwe ru-e-raushan se
jahan baiThoge tum chhup kar wahin jalwa dikhaenge
na chhoDunga qadam un ke fida ho jaunga un par
‘shahansha’ aa ja bar aaqa mere tashrif laenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.