ġham khāne meñ budā dil-e-nākām bahut hai
ġham khāne meñ buudā dil-e-nākām bahut hai
ye rañj ki kam hai mai-e-gulfām bahut hai
kahte hue saaqī se hayā aatī hai varna
hai yuuñ ki mujhe durd-e-tah-e-jām bahut hai
ne tiir kamāñ meñ hai na sayyād kamīñ meñ
goshe meñ qafas ke mujhe ārām bahut hai
kyā zohd ko mānūñ ki na ho garche riyā.ī
pādāsh-e-amal kī tama-e-ḳhām bahut hai
haiñ ahl-e-ḳhirad kis ravish-e-ḳhās pe nāzāñ
pābastagi-e-rasm-o-rāh-e-ām bahut hai
zamzam hī pe chhoḌo mujhe kyā tauf-e-haram se
ālūdā-ba-mai jāma-e-ehrām bahut hai
hai qahr gar ab bhī na bane baat ki un ko
inkār nahīñ aur mujhe ibrām bahut hai
ḳhuuñ ho ke jigar aañkh se Tapkā nahīñ ai marg
rahne de mujhe yaañ ki abhī kaam bahut hai
hogā koī aisā bhī ki 'ġhālib' ko na jaane
shā.ir to vo achchhā hai pa badnām bahut hai
ġham khāne meñ budā dil-e-nākām bahut hai
ye rañj ki kam hai mai-e-gulfām bahut hai
kahte hue saqī se hayā aatī hai warna
hai yuñ ki mujhe durd-e-tah-e-jām bahut hai
ne tir kamāñ meñ hai na sayyād kamīñ meñ
goshe meñ qafas ke mujhe ārām bahut hai
kyā zohd ko mānūñ ki na ho garche riyāī
pādāsh-e-amal kī tama-e-ḳhām bahut hai
haiñ ahl-e-ḳhirad kis rawish-e-ḳhās pe nāzāñ
pābastagi-e-rasm-o-rāh-e-ām bahut hai
zamzam hī pe chhoḌo mujhe kyā tauf-e-haram se
ālūdā-ba-mai jāma-e-ehrām bahut hai
hai qahr gar ab bhī na bane baat ki un ko
inkār nahīñ aur mujhe ibrām bahut hai
ḳhuñ ho ke jigar aañkh se Tapkā nahīñ ai marg
rahne de mujhe yañ ki abhī kaam bahut hai
hogā koī aisā bhī ki 'ġhālib' ko na jaane
shāir to wo achchhā hai pa badnām bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.