ham-nafas is chaman-e-dahr mein kam aate hain
ham-nafas is chaman-e-dahr meñ kam aate haiñ
bū-e-gul se kaho Thahr abhī ham aate haiñ
’āshiqoñ kī sī tujhe taab kahāñ hai ai dost
varna mujh ko bahut andāz-e-sitam aate haiñ
kam nigāhī bhī tirī maslahat-āmez na ho
dil se naale mire lab tak bhī to kam aate haiñ
terī nazroñ meñ to kuchh sahr hai zālim varna
apne qaabū meñ bhī mushkil hī se ham aate haiñ
kyā barahman meñ bhī baaqī na rahī bū-e-vafā
aaj kyuuñ lauT ke kā'be meñ sanam aate haiñ
hai ye insāñ hī vo qibla-e-barhaq ki jise
sajda karne ke liye dair-o-haram aate haiñ
ḳhuub thā un kī tavajjoh kā zamāna 'maikash'
ab to shāyad unheñ ham yaad bhī kam aate haiñ
ham-nafas is chaman-e-dahr mein kam aate hain
bu-e-gul se kaho Thahr abhi hum aate hain
’ashiqon ki si tujhe tab kahan hai ai dost
warna mujh ko bahut andaz-e-sitam aate hain
kam nigahi bhi teri maslahat-amez na ho
dil se nale mere lab tak bhi to kam aate hain
teri nazron mein to kuchh sahr hai zalim warna
apne qabu mein bhi mushkil hi se hum aate hain
kya barahman mein bhi baqi na rahi bu-e-wafa
aaj kyun lauT ke ka'be mein sanam aate hain
hai ye insan hi wo qibla-e-barhaq ki jise
sajda karne ke liye dair-o-haram aate hain
KHub tha un ki tawajjoh ka zamana 'maikash'
ab to shayad unhen hum yaad bhi kam aate hain
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 210)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.