hum nahifon se gurez aapko darkar nahin
hum nahifon se gurez aapko darkar nahin
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
ham nahīfoñ se gurez aap ko darkār nahīñ
pahlū-e-gul meñ huā karte haiñ kyā ḳhaar nahīñ
kab maiñ muusā kī tarh tālib-e-dīdār nahīñ
sūrat-e-tūr meñ kab jalne ko tayyār nahīñ
koī hamdard nahīñ hijr meñ ġham-ḳhvār nahīñ
bhes meñ roz-e-qiyāmat hai shab-e-tār nahīñ
dil to kyā shai hai bhalā us kī haqīqat kyā hai
māñgiye jaan bhī gar aap to inkār nahīñ
qabr hī meñ mujhe ai hashr paḌā rahne de
shakl dikhlāne ke qābil ye siyahkār nahīñ
durr-e-mazmūñ kī jhaḌī rahtī hai kyuuñ phir ye 'hasan'
gar mirī tab-e-ravāñ abr-e-guhar-bār nahīñ
hum nahifon se gurez aap ko darkar nahin
pahlu-e-gul mein hua karte hain kya KHar nahin
kab main musa ki tarh talib-e-didar nahin
surat-e-tur mein kab jalne ko tayyar nahin
koi hamdard nahin hijr mein gham-KHwar nahin
bhes mein roz-e-qiyamat hai shab-e-tar nahin
dil to kya shai hai bhala us ki haqiqat kya hai
mangiye jaan bhi gar aap to inkar nahin
qabr hi mein mujhe ai hashr paDa rahne de
shakl dikhlane ke qabil ye siyahkar nahin
durr-e-mazmun ki jhaDi rahti hai kyun phir ye 'hasan'
gar meri tab-e-rawan abr-e-guhar-bar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.