Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

humne dar-parda tujhe mah-jabin dekh liya

Unknown

humne dar-parda tujhe mah-jabin dekh liya

Unknown

MORE BYUnknown

    Interesting Fact

    ’’بیاضِ قوال، بہارِ قوال‘‘ حصہ دوم کے صفحہ ۲۴؍ پر یہ غزل امیرؔ مینائی سے منسوب ہے۔

    ham ne dar-parda tujhe māh-jabīñ dekh liyā

    ab na kar parda ki ai parda-nashīñ dekh liyā

    tere dīdār ham ko thī tamannā so tujhe

    log dekheñge vahāñ ham ne yahīñ dekh liyā

    ham nazar-bāzoñ se chhup na sakā jān-e-jahāñ

    jahāñ ke chhupā ham ne vahīñ dekh liyā

    ham ne dekhā tujhe āñkhoñ siyāh putlī meñ

    saat pardoñ meñ tujhe parda-nashīñ dekh liyā

    pūchhe us se koī tauhīd ke mazmūñ 'sāqī'

    jis ne ahmad ko ahad ke qarīñ dekh liyā

    hum ne dar-parda tujhe mah-jabin dekh liya

    ab na kar parda ki ai parda-nashin dekh liya

    tere didar ki hum ko thi tamanna so tujhe

    log dekhenge wahan hum ne yahin dekh liya

    hum nazar-bazon se tu chhup na saka jaan-e-jahan

    tu jahan ja ke chhupa hum ne wahin dekh liya

    hum ne dekha tujhe aankhon ki siyah putli mein

    sat pardon mein tujhe parda-nashin dekh liya

    puchhe us se koi tauhid ke mazmun 'saqi'

    jis ne ahmad ko ahad ke hi qarin dekh liya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Fareed Ayaz

    Fareed Ayaz

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now