hum shafi-ul-muznabin par ho gae hain mubtala
ham shafī'-ul-muznabīñ par ho ga.e haiñ mubtalā
ḳhuub haath aayā hai baḳhshish kā sahārā in dinoñ
likh rahā huuñ maiñ javān-e-dil vasf-e-ḳhāl-e-rū-e-pāk
'arsh par merā chamaktā hai sitār in dinoñ
huliya-e-rū-e-kitābī us kā azbar hai mujhe
ho gayā hai hifz-e-qur.āñ mujh ko saarā in dinoñ
rāt-din 'ishq-e-habīb-e-kibriyā hai jalva-gar
'arsh se kamtar nahīñ hai dil hamārā in dinoñ
jaan kar diiñ jān-e-jāñ ko shāfe'-e-roz-e-jazā
ḳhauf-e-mahshar ne kyā dil se kinārā in dinoñ
vasf-e-abrū-e-mohammad kā dilā kar 'lutf'-e-shauq
be-ajal teġh-e-qazā ne jaañ se maarā in dinoñ
hum shafi'-ul-muznabin par ho gae hain mubtala
KHub hath aaya hai baKHshish ka sahaara in dinon
likh raha hun main jawan-e-dil wasf-e-KHal-e-ru-e-pak
'arsh par mera chamakta hai sitar in dinon
huliya-e-ru-e-kitabi us ka azbar hai mujhe
ho gaya hai hifz-e-quran mujh ko sara in dinon
raat-din 'ishq-e-habib-e-kibriya hai jalwa-gar
'arsh se kamtar nahin hai dil hamara in dinon
jaan kar din jaan-e-jaan ko shafe'-e-roz-e-jaza
KHauf-e-mahshar ne kya dil se kinara in dinon
wasf-e-abru-e-mohammad ka dila kar 'lutf'-e-shauq
be-ajal tegh-e-qaza ne jaan se mara in dinon
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.