hamein kya gham qiyamat mein jo pursish hone wali hai
hameñ kyā ġham qiyāmat meñ jo pursish hone vaalī hai
ki jab vo fitna-gar aayā to phir maidān ḳhālī hai
kudūrat dil kī jo fariyād karne se nikālī hai
vo kahte haiñ mohabbat par hamārī ḳhaak Daalī hai
abhī haiñ bholī-bholī bāteñ un kī ḳhurd-sālī hai
magar chitvan ye kahtī hai qiyāmat hone vaalī hai
hamārī tauba zāhid kī javānī donoñ bekas haiñ
na koī us kā vāris hai na koī us kā vaalī hai
ilāhī kyuuñ ġham-e-furqat falak mujh ko dikhlātā hai
ki maiñ ne hijr-e-jānāñ meñ qasam khāne kī khā lī hai
duā.eñ de rahā huuñ zer-e-marqad apne qātil ko
ḳhudā rakhe use jis ne mirī hasrat nikālī hai
male tū ne kaf-e-afsos pahroñ marg-e-dushman par
ye surḳhī us ke hai hāthoñ meñ yā mehñdī kī laalī hai
shabāb aisā jo ho us se bahār-e-gul ko kyā nisbat
tirī chaḌhtī javānī hai aur us kī Dhalne vaalī hai
bayāñ kī be-vafā.ī jab zamāne kī to vo bole
ajī ham kHuub samjhe saaf tum ne ham pe Daalī hai
dil-e-muztar ko thāme phir rahā huuñ maiñ shab-e-furqat
na mere paañv ḳhālī haiñ na merā haath ḳhālī hai
mujhe ghar kaaTe khātā hai to bistar phāḌe khātā hai
shab-e-furqat meñ kyā sher-e-naistāñ sher-e-qālī hai
huā hai chaar sajdoñ par ye zāhido tum ko
ḳhudā ne kyā tumhār haath jannat bech Daalī hai
uThā liiñ lutf koī din yahāñ phir ham kahāñ phir tum
burā vaqt aane vaalā hai judā.ī hone vaalī hai
kahāñ qismat kahāñ himmat kahāñ tāqat ki maiñ pahuñchūñ
ki manzil ishq kī kuchh 'arsh-e-a.alā se bhī ’aalī hai
bharī haiñ hasrateñ hī hasrateñ us ḳhāna-e-dil meñ
magar dekho to ye phir ghar kā ghar ḳhālī kā ḳhālī hai
ye chāleñ āsmāñ kī kuchh samajh meñ hī nahīñ ātīñ
kisī kī sarfarāzī hai kisī kī pā.emālī hai
lab-e-mo'jiz-numā se gāliyāñ detī haiñ jo hañs kar
mirī tasvīr meñ bhī tum ne goyā jaan Daalī hai
kabhī hai us kī chaukhaT par kabhī hai us ke qadmoñ par
azal se merī peshānī baḌī taqdīr vaalī hai
kyā jaane kahā kyā o sitam-gar raah chaltoñ ne
ḳhafā kyuuñ ho koī bāzār kī gaalī bhī gaalī hai
tirī mahfil meñ tere daaġh ko ham ne nahīñ dekhā
bharī haiñ ġhair aa-ā kar jagah us kī hī ḳhālī hai
vo likheñge tujhe ḳhat kā javāb ai 'dāġh' kyā kahnā
ye tū ne ḳhvāb dekhā hai ki mazmūn-e-ḳhayālī hai
hamein kya gham qiyamat mein jo pursish hone wali hai
ki jab wo fitna-gar aaya to phir maidan KHali hai
kudurat dil ki jo fariyaad karne se nikali hai
wo kahte hain mohabbat par hamari KHak Dali hai
abhi hain bholi-bholi baaten un ki KHurd-sali hai
magar chitwan ye kahti hai qiyamat hone wali hai
hamari tauba zahid ki jawani donon bekas hain
na koi us ka waris hai na koi us ka wali hai
ilahi kyun gham-e-furqat falak mujh ko dikhlata hai
ki main ne hijr-e-jaanan mein qasam khane ki kha li hai
duaen de raha hun zer-e-marqad apne qatil ko
KHuda rakhe use jis ne meri hasrat nikali hai
male tu ne kaf-e-afsos pahron marg-e-dushman par
ye surKHi us ke hai hathon mein ya mehndi ki lali hai
shabab aisa jo ho us se bahaar-e-gul ko kya nisbat
teri chaDhti jawani hai aur us ki Dhalne wali hai
bayan ki be-wafai jab zamane ki to wo bole
aji hum kHub samjhe saf tum ne hum pe Dali hai
dil-e-muztar ko thame phir raha hun main shab-e-furqat
na mere panw KHali hain na mera hath KHali hai
mujhe ghar kaTe khata hai to bistar phaDe khata hai
shab-e-furqat mein kya sher-e-naistan sher-e-qali hai
hua hai chaar sajdon par ye zahido tum ko
KHuda ne kya tumhaar hath jannat bech Dali hai
uTha lin lutf koi din yahan phir hum kahan phir tum
bura waqt aane wala hai judai hone wali hai
kahan qismat kahan himmat kahan taqat ki main pahunchun
ki manzil ishq ki kuchh 'arsh-e-ala se bhi ’ali hai
bhari hain hasraten hi hasraten us KHana-e-dil mein
magar dekho to ye phir ghar ka ghar KHali ka KHali hai
ye chaalen aasman ki kuchh samajh mein hi nahin aatin
kisi ki sarfaraazi hai kisi ki paemali hai
lab-e-mo'jiz-numa se galiyan deti hain jo hans kar
meri taswir mein bhi tum ne goya jaan Dali hai
kabhi hai us ki chaukhaT par kabhi hai us ke qadmon par
azal se meri peshani baDi taqdir wali hai
kya jaane kaha kya o sitam-gar rah chalton ne
KHafa kyun ho koi bazar ki gali bhi gali hai
teri mahfil mein tere dagh ko hum ne nahin dekha
bhari hain ghair aa-a kar jagah us ki hi KHali hai
wo likhenge tujhe KHat ka jawab ai 'dagh' kya kahna
ye tu ne KHwab dekha hai ki mazmun-e-KHayali hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.