har ek aashiq nae andaz se qurban-e-qatil tha
har ek aashiq nae andaz se qurban-e-qatil tha
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
har ik 'āshiq na.e andāz se qurbān-e-qātil thā
qatīl-e-teġh-e-be-sar thā shahīd-e-nāz-e-be-dil thā
tarīq-e-'ishq meñ jo jis qadar gum-karda manzil thā
vo bas utnā hī ai dil ḳhizr-e-rah banñe ke qābil thā
hazāroñ zaḳhm khā ke bhī na taḌpā haaye majbūrī
bas ik tasvīr-e-be-tābī sarāpā terā bismil thā
bahar surat thī ik taklīf bīmārī-e-ulfat meñ
mujhe āsān thā marnā magar parhez mushkil thā
dil vārasta hī apnā akelā rah gayā āḳhir
bahut the ham-safar lekin har ik pāband-e-manzil thā
kahāñ phir naġhma-o-sahbā kahāñ phir mutrib-o-sāqī
kisī be-dil ke aate hī digar-gūñ rañg-e-mahfil thā
ḳhudā 'majzūb' ko rakh salāmat us ne chauñkāyā
jise manzil samajh rakhā thā vo ik kHvāb-e-manzil thā
har ek 'ashiq nae andaz se qurban-e-qatil tha
qatil-e-tegh-e-be-sar tha shahid-e-naz-e-be-dil tha
tariq-e-'ishq mein jo jis qadar gum-karda manzil tha
wo bas utna hi ai dil KHizr-e-rah banne ke qabil tha
hazaron zaKHm kha ke bhi na taDpa haye majburi
bas ek taswir-e-be-tabi sarapa tera bismil tha
bahar surat thi ek taklif bimari-e-ulfat mein
mujhe aasan tha marna magar parhez mushkil tha
dil warasta hi apna akela rah gaya aaKHir
bahut the ham-safar lekin har ek paband-e-manzil tha
kahan phir naghma-o-sahba kahan phir mutrib-o-saqi
kisi be-dil ke aate hi digar-gun rang-e-mahfil tha
KHuda 'majzub' ko rakh salamat us ne chaunkaya
jise manzil samajh rakha tha wo ek kHwab-e-manzil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.