har jā munavvar nūr-e-qadam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
maujūd hai vo baaqī adam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
qur.ān meñ uqda jab is kā khulā nūrus-samāvāti-val-arz bolā
mishkāt-o-misbāh-o-kaukab alam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
gar hai anal-haq yā hai hual-haq haq kā hai jalva bar-haq hai bar-haq
bātil nahīñ hai haq kī qasam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
ye ain aur ġhair yā ka.aba-o-dair hai diid kā naqs aur fahm kā pher
dekho to yaksāñ dair-o-haram hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
a.alam meñ aadam aadam meñ a.alam āñ-dam meñ īñ-dam īñ-dam meñ āñ-dam
haq kā tamāsha yaañ dam ba-dam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
kashtī meñ dariyā dariyā meñ kashtī siflī meñ 'ulvī' 'ulvī' meñ siflī
tūfāñ meñ maujeñ maujoñ meñ yam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
har ja munawwar nur-e-qadam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
maujud hai wo baqi adam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
quran mein uqda jab is ka khula nurus-samawati-wal-arz bola
mishkat-o-misbah-o-kaukab alam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
gar hai anal-haq ya hai hual-haq haq ka hai jalwa bar-haq hai bar-haq
baatil nahin hai haq ki qasam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
ye ain aur ghair ya kaba-o-dair hai did ka naqs aur fahm ka pher
dekho to yaksan dair-o-haram hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
aalam mein aadam aadam mein aalam aan-dam mein in-dam in-dam mein aan-dam
haq ka tamasha yan dam ba-dam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
kashti mein dariya dariya mein kashti sifli mein 'ulwi' 'ulwi' mein sifli
tufan mein maujen maujon mein yam hai jaane so dekhe dekhe so samjhe
Source :
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 331)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.