har tamanna dil se ruKHsat ho gai
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
har tamannā dil se ruḳhsat ho ga.ī
ab to aa jā ab to ḳhalvat ho ga.ī
ishq meñ zillat bhī izzat ho ga.ī
lī faqīrī pādshāhat ho ga.ī
laakh jhiḌko ab kahīñ phirtā hai dil
hoga.ī ab to mohabbat ho ga.ī
kar chuke rindī bas ai majzūb tum
ek chullū se ye hālat ho ga.ī
ab to maiñ huuñ aur shuġhl yād-e-dost
saare jhagḌoñ se farāġhat ho ga.ī
jī rahā huuñ maut kī ummīd meñ
mar hī jā.ūñgā jo sehat ho ga.ī
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
ab to aa ja ab to KHalwat ho gai
ishq mein zillat bhi izzat ho gai
li faqiri padshahat ho gai
lakh jhiDko ab kahin phirta hai dil
hogai ab to mohabbat ho gai
kar chuke rindi bas ai majzub tum
ek chullu se ye haalat ho gai
ab to main hun aur shughl yaad-e-dost
sare jhagDon se faraghat ho gai
ji raha hun maut ki ummid mein
mar hi jaunga jo sehat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.