teri mi’ad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho
tirī mī’ād-e-ġham puurī huī ai zindagī ḳhush ho
qafas TuuTe na TuuTe maiñ tujhe āzād karatā huuñ
maiñ apne dil kā mālik huuñ mirā dil ek bastī hai
kabhī ābād karatā huuñ kabhī barbād karatā huuñ
mulāqāteñ bhī hotī haiñ mulāqātoñ ke ba.ad aksar
vo mujh ko bhuul jaate haiñ maiñ un ko yaad karatā huuñ
ḳhudī kī ibtidā ye thī ki apne aap meñ gum thā
ḳhudī kī intihā ye hai ḳhudā ko yaad karatā huuñ
jafā-kāro mirī mazlūm ḳhāmoshī pe sunte ho
Thahar jaao zarā dam lo abhī fariyād karatā huuñ
butoñ ke 'ishq meñ khoyā gayā huuñ varna ai 'aḳhtar'
ḳhudā shāhid hai maiñ aksar ḳhudā ko yaad karatā huuñ
teri mi’ad-e-gham puri hui ai zindagi KHush ho
qafas TuTe na TuTe main tujhe aazad karata hun
main apne dil ka malik hun mera dil ek basti hai
kabhi aabaad karata hun kabhi barbaad karata hun
mulaqaten bhi hoti hain mulaqaton ke baad aksar
wo mujh ko bhul jate hain main un ko yaad karata hun
KHudi ki ibtida ye thi ki apne aap mein gum tha
KHudi ki intiha ye hai KHuda ko yaad karata hun
jafa-karo meri mazlum KHamoshi pe sunte ho
Thahar jao zara dam lo abhi fariyaad karata hun
buton ke 'ishq mein khoya gaya hun warna ai 'aKHtar'
KHuda shahid hai main aksar KHuda ko yaad karata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.