ali imam-e-man-ast-o-manam ghulam-e-’ali
Interesting Fact
آواز : زاہد نازاں قوال۔ کرامات حضرت مولیٰ علی۔
'alī imām-e-man-ast-o-manam ġhulām-e-’alī
hazār jaan girāmī fidā ba-nām-e-'alī
bayān karatā huuñ haidar kī maiñ ’ināyat kā
javāb miltā nahīñ aap kī saḳhāvat kā
ḳhudā ke sher se saa.el ne ye savāl kiyā
khilā do khānā mujhe bhūkā huuñ ka.ī din kā
'alī ke paas thā kyā ḳhushk roTiyoñ ke sivā
biThā ke saath meñ saa.el se bole bismillāh
uThā ke ek jo TukḌā chabāyā saa.el ne
chabā nahīñ to pashemāñ huā bahut dil meñ
kahā 'alī se ki meñ in ko khā nahii. saktā
kasī tarah bhī ye TukḌe chabā nahīñ saktā
'alī ne ghar kā hasan ke pata diyā us ko
lazīz khāne vahāñ par mileñge jā tujh ko
vahāñ se sīdhā vo saa.el hasan ke ghar aayā
'alī ke laal ne chāhat se us ko biThlā yā
bahut se khāne vahāñ par jo dekhe saa.el ne
'alī ke baare meñ vo sochne lagā dil meñ
ḳhilā.uñ un ko bhī khānā zarā sā le jaake
mirī tarah se ka.ī din ke haiñ inheñ faaqe
ye karke faisla khāne ko vo chhupāne lagā
hasan ne dekh ke āhistagī se farmāyā
bahut hai khānā yahāñ par tū itmīnān se khā
hai ghar pe jitnī zarūrat tū shauq se le jā
savāl sunte hī saa.el ne ye javāb diyā
jahāñ meñ koī nahīñ hai mirā ḳhudā ke sivā
milā thā masjid-e-kūfa meñ ik ġharīb bashar
jo sūkhī roTiyāñ khā-khā ke kar rahā hai guzar
usī ne aap ke ghar kā pata batāyā hai
usī kā khāne meñ mujh ko ḳhayāl aayā hai
agar ho aap kī marzī to khānā le jā۔ūñ
nahīñ to saath meñ jākar meñ us ko le aa.uuñ
'alī ke laal ne sun kar kahā ye saa.el se
nahīñ hai tū abhī'' vāqif hī mard-e-kāmil se
jo ḳhushk roTiyāñ khāte haiñ murtazā haiñ vo
ḳhudā ke sher haiñ dāmād-e-mustafā haiñ vo
isī tarah vo mushkil-kushā.ī karte haiñ
vo faaqa karke ġharīboñ kā peT bharte haiñ
ḳhudā ke sher ko bhaa.ī na tuune pahchānā
mile the jo tujhe masjid meñ mere haiñ baabā
ye raaz jaan ke saa.el se zabt ho na sakā
ravāñ the aañkh se aañsū zabāñ pe thā na.ara
'alī imām-e-man-ast-o-manam ġhulām-e-‘alī
'ali imam-e-man-ast-o-manam ghulam-e-’ali
hazar jaan girami fida ba-nam-e-'ali
bayan karata hun haidar ki main ’inayat ka
jawab milta nahin aap ki saKHawat ka
KHuda ke sher se sael ne ye sawal kiya
khila do khana mujhe bhuka hun kai din ka
'ali ke pas tha kya KHushk roTiyon ke siwa
biTha ke sath mein sael se bole bismillah
uTha ke ek jo TukDa chabaya sael ne
chaba nahin to pasheman hua bahut dil mein
kaha 'ali se ki mein in ko kha nahi sakta
kasi tarah bhi ye TukDe chaba nahin sakta
'ali ne ghar ka hasan ke pata diya us ko
laziz khane wahan par milenge ja tujh ko
wahan se sidha wo sael hasan ke ghar aaya
'ali ke lal ne chahat se us ko biThla ya
bahut se khane wahan par jo dekhe sael ne
'ali ke bare mein wo sochne laga dil mein
KHilaun un ko bhi khana zara sa le jake
meri tarah se kai din ke hain inhen faqe
ye karke faisla khane ko wo chhupane laga
hasan ne dekh ke aahistagi se farmaya
bahut hai khana yahan par tu itminan se kha
hai ghar pe jitni zarurat tu shauq se le ja
sawal sunte hi sael ne ye jawab diya
jahan mein koi nahin hai mera KHuda ke siwa
mila tha masjid-e-kufa mein ek gharib bashar
jo sukhi roTiyan kha-kha ke kar raha hai guzar
usi ne aap ke ghar ka pata bataya hai
usi ka khane mein mujh ko KHayal aaya hai
agar ho aap ki marzi to khana le ja۔un
nahin to sath mein jakar mein us ko le aaun
'ali ke lal ne sun kar kaha ye sael se
nahin hai tu abhi waqif hi mard-e-kaamil se
jo KHushk roTiyan khate hain murtaza hain wo
KHuda ke sher hain damad-e-mustafa hain wo
isi tarah wo mushkil-kushai karte hain
wo faqa karke gharibon ka peT bharte hain
KHuda ke sher ko bhai na tune pahchana
mile the jo tujhe masjid mein mere hain baba
ye raaz jaan ke sael se zabt ho na saka
rawan the aankh se aansu zaban pe tha nara
'ali imam-e-man-ast-o-manam ghulam-e-‘ali
- Book : Zahid Nazan Qawwal, Part 1 (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.