kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun
kaise chhupā.ūñ rāz-e-ġham dīda-e-tar ko kyā karūñ
dil kī tapish ko kyā karūñ soz-e-jigar ko kyā karūñ
ġhair hai garche ham-nashīñ bazm meñ hai to vo hasīñ
phir mujhe le chalā vahīñ zauq-e-nazar ko kyā karūñ
shorish-e-'āshiqī kahāñ aur merī sādgī kahāñ
husn ko tere kyā kahūñ apnī nazar ko kyā karūñ
ġham kā na dil meñ ho guzar vasl kī shab ho yuuñ basar
sab ye qubūl hai magar ḳhauf-e-sahar ko kyā karūñ
haal merā thā jab battar tab na huī tumheñ ḳhabar
baa'd mere huā asar ab maiñ asar ko kyā karūñ
dil kī havas miTā to dī un kī jhalak dikhā to dī
par ye kaho ki shauq kī bār-e-digar ko kyā karūñ
'hasrat'-e-naġhz go tirā koī na qadr-dāñ milā
ab ye batā ki maiñ tire 'arz-e-hunar ko kyā karūñ
kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun
dil ki tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karun
ghair hai garche ham-nashin bazm mein hai to wo hasin
phir mujhe le chala wahin zauq-e-nazar ko kya karun
shorish-e-'ashiqi kahan aur meri sadgi kahan
husn ko tere kya kahun apni nazar ko kya karun
gham ka na dil mein ho guzar wasl ki shab ho yun basar
sab ye qubul hai magar KHauf-e-sahar ko kya karun
haal mera tha jab battar tab na hui tumhein KHabar
ba'd mere hua asar ab main asar ko kya karun
dil ki hawas miTa to di un ki jhalak dikha to di
par ye kaho ki shauq ki bar-e-digar ko kya karun
'hasrat'-e-naghz go tera koi na qadr-dan mila
ab ye bata ki main tere 'arz-e-hunar ko kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.