hasti hai jab tak hum hain usi iztirab mein
hastī hai jab tak ham haiñ usī iztirāb meñ
juuñ mauj ā-phañse haiñ ajab pech-o-tāb meñ
ne ḳhudā-e-ḳhudā hai na hai ye butoñ kā ghar
rahtā hai kaun is dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ
ā.īna-e-adm hī meñ hastī hai jalva-gar
hai maujzan tamām ye dariyā habāb meñ
ġhāfil jahāñ kī diid ko muft nazar samajh
phir dekhnā nahīñ hai is aalam ko ḳhvāb meñ
har juzv kul ke saath ba-ma.anī hai ittisāl
dariyā se dar judā hī pe hai ġharq-e-āb meñ
maiñ aur 'dard' mujh se kHarīdārī-e-butāñ
hai ek dil bisāt meñ sau kis hisāb meñ
hasti hai jab tak hum hain usi iztirab mein
jun mauj aa-phanse hain ajab pech-o-tab mein
ne KHuda-e-KHuda hai na hai ye buton ka ghar
rahta hai kaun is dil-e-KHana-KHarab mein
aaina-e-adm hi mein hasti hai jalwa-gar
hai maujzan tamam ye dariya habab mein
ghafil jahan ki did ko muft nazar samajh
phir dekhna nahin hai is aalam ko KHwab mein
har juzw kul ke sath ba-mani hai ittisal
dariya se dar juda hi pe hai gharq-e-ab mein
main aur 'dard' mujh se kHaridari-e-butan
hai ek dil bisat mein sau kis hisab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.