go hamara hai aashna re sajan
go hamārā hai āshnā re sajan
tū na kar is qadar jafā re sajan
haiñge mushtāq sab chaman ke gul
Tuk tū apnā daras dikhā re sajan
dekh gulshan meñ qad kuuñ sarv-e-buland
kyuuñ na huā aake ḳhāk-e-pā re sajan
har qadam tujh galī meñ 'āshiq kuuñ
haigā maidān-e-karbalā re sajan
ba.ad muddat huā hai roz-e-visāl
Tuk tū bahr-e-ḳhudā na jā re sajan
dekh aa rañg-e-zard 'āshiq kā
gar tū hai tālib-e-tilā re sajan
chīn-e-abrū chaḌhā chalā hai kidhar
Tuk tū apnā patā batā re sajan
ye tavaqqo.a na thī mujhe tujh suuñ
be-sabab kyuuñ tū laḌ chalā re sajan
kahtā 'hātim' phire jahāñ ke biich
tujh sā zālim nahīñ sunā re sajan
go hamara hai aashna re sajan
tu na kar is qadar jafa re sajan
hainge mushtaq sab chaman ke gul
Tuk tu apna daras dikha re sajan
dekh gulshan mein qad kun sarw-e-buland
kyun na hua aake KHak-e-pa re sajan
har qadam tujh gali mein 'ashiq kun
haiga maidan-e-karbala re sajan
baad muddat hua hai roz-e-visal
Tuk tu bahr-e-KHuda na ja re sajan
dekh aa rang-e-zard 'ashiq ka
gar tu hai talib-e-tila re sajan
chin-e-abru chaDha chala hai kidhar
Tuk tu apna pata bata re sajan
ye tawaqqoa na thi mujhe tujh sun
be-sabab kyun tu laD chala re sajan
kahta 'hatim' phire jahan ke bich
tujh sa zalim nahin suna re sajan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.