chhupa nahin ja-ba-ja hazir hai pyara
chhupa nahin ja-ba-ja hazir hai pyara
Sheikh Zuhooruddin Hatim
MORE BYSheikh Zuhooruddin Hatim
chhupā nahīñ jā-ba-jā hāzir hai pyārā
kahāñ do-chashm jo māreñ nazāra
judā nahīñ sab setī tahqīq kar dekh
milā hai sab se aur sab señ niyārā
musāfir uTh tujhe chalnā hai manzil
baje hai kuuch kā har dam naqqārā
misāl-e-bahr-e-maujeñ mārtā hai
kiyā hai jis ne is jag suuñ kinārā
kahīñ haiñ ahl-e-’irfāñ us kuuñ jiitā
jo mar kar 'ishq meñ duniyā suuñ haarā
samajh kar dekh sab jag pekhnā hai
kahāñ haigā sikandar kahāñ hai daarā
siyāne ḳhalaq señ yuuñ bhāgte haiñ
ki jyuuñ ātish setī bhāge hai paarā
shahīdoñ meñ use kahnā ravā nahīñ
paḌā jo teġh suuñ hasrat ke maarā
safā kar dil ke ā.īne ko 'hātim'
dekhā chāhe sajan ko āshkārā
chhupa nahin ja-ba-ja hazir hai pyara
kahan do-chashm jo maren nazara
juda nahin sab seti tahqiq kar dekh
mila hai sab se aur sab sen niyara
musafir uTh tujhe chalna hai manzil
baje hai kuch ka har dam naqqara
misal-e-bahr-e-maujen marta hai
kiya hai jis ne is jag sun kinara
kahin hain ahl-e-’irfan us kun jita
jo mar kar 'ishq mein duniya sun haara
samajh kar dekh sab jag pekhna hai
kahan haiga sikandar kahan hai dara
siyane KHalaq sen yun bhagte hain
ki jyun aatish seti bhage hai para
shahidon mein use kahna rawa nahin
paDa jo tegh sun hasrat ke mara
safa kar dil ke aaine ko 'hatim'
dekha chahe sajan ko aashkara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.